Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ho Gaye Zainab Se Khafa Aye Mere Baba

Nadeem Sarwar

1986Urdu
1986UrduImam Ali21 Ramadan
Ho Gaye Zainab Se Khafa Aye Mere Baba is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry attributed to Rehan Azmi. It portrays Bibi Zainab (s.a.) lamenting the martyrdom of her father Imam Ali (a.s.), recalling his wound, his suffering in Masjid-e-Kufa and the grief of Imam Hasan and Imam Hussain. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu text and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1986
Occasion
21 Ramadan
Original
Urdu

Lyrics

Ho Gaye Zainab Se Khafa Aye Mere Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ho Gaye Zainab Se Khafa Aye Mere Baba

Ho Gaye Zainab Se Khafa Aye Mere Baba

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ho Gaye Zainab Se Khafa Aye Mere Baba

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ho gaye Zainab se khafa, aye mere Baba
Ho gaye Zainab se khafa, aye mere Baba
Kya beti se pyaari thi qaza, aye mere Baba
Kya beti se pyaari thi qaza, aye mere Baba

Ghar mera veeraan kiya (Aye mere Baba)
Ghar mera veeraan kiya (Aye mere Baba)
Karti hoon aah-o-buka (Aye mere Baba)
Zulm yeh kaisa hua (Aye mere Baba)
Zulm yeh kaisa hua (Aye mere Baba)
Kyun sunte nahin meri sada, kisko pukaaroon ×2
Saaya hai mere sar se utha, kisko pukaaroon ×2

Zarb yeh kaisi lagi (Aye mere Baba)
Kaun tha aisa shaqi (Aye mere Baba)
Zulm ki had ho gayi (Aye mere Baba)
Zulm ki had ho gayi (Aye mere Baba)
Aye, rote hain Hasnain, zara aankhein to kholo ×2
Dil kab se hai bechain, zara aankhein to kholo ×2

Baithi hai gham ki sahar (Aye mere Baba)
Katta hai mera jigar (Aye mere Baba)
Aapko yun dekh kar (Aye mere Baba)
Chalte hain khanjar mere seene pe alam ke ×2
Taqdeer ne dikhlaaye yeh din kaise sitam ke ×2

Aankh se aansoo rawaan (Aye mere Baba)
Seenon se uthta dhuaan (Aye mere Baba)
Dard ki chingaariyaan (Aye mere Baba)
Dard ki chingaariyaan (Aye mere Baba)
Aye Ibn-e-Muljim, yeh bata tujhko mila kya ×2
Tune lahoo kis liye Haider ka bahaaya ×2

Qatl namaazi hua (Aye mere Baba)
Arsh se aayi yeh sada (Aye mere Baba)
Ho gaya mahshar barpa (Aye mere Baba)
Rote hain Jibreel-e-Ameen peet ke seena ×2
Naale koi karta hai, koi padhta hai Noha ×2
Ya Ali Mushkilkusha (Aye mere Baba)
Dekhiye uth kar zara (Aye mere Baba)
Noha suna hai fiza (Aye mere Baba)

Haaye tegh-e-jafa aap pe zaalim ne chalaayi ×2
Roti hai zameen, aasmaan deta hai duhaayi ×2
Tu to kare guftagu (Aye mere Baba)
Behta hai sar se lahoo (Aye mere Baba)
Aap hue surkhroo (Aye mere Baba)

Masjid-e-Kufa mein barpa shor-o-buka hai ×2
Daamaad-e-Nabi, Sher-e-Khuda qatl hua hai ×2
Rote hain ahl-e-aza (Aye mere Baba)
Ho gayi majlis barpa (Aye mere Baba)
Dil bhi tadapne lage (Aye mere Baba)
Dil bhi tadapne lage (Aye mere Baba)

Uth gaya duniya se madadgaar hamaara ×2
Bewa-o-yateemon ka, aseeron ka sahaara ×2
Shabbar-o-Shabbir par (Aye mere Baba)
Kijiye uth kar nazar (Aye mere Baba)
Rote hain sar peet kar (Aye mere Baba)

Amma ki tarah aap bhi ab dar se sidhaare ×2
Ab haath rakhe kaun bhala sar pe hamaare ×2
Ashkon ka yeh silsila (Aye mere Baba)
Ashkon ka yeh silsila (Aye mere Baba)
Jaari rahega sada (Aye mere Baba)
Kufa ho ya Karbala (Aye mere Baba)
Kufa ho ya Karbala (Aye mere Baba)

Aye Noha Rehan Azmi yeh Maula Ali ka ×2
Hai sab ke liye uqba mein bakhshish ka sahaara ×2
Aati thi har soo sada (Aye mere Baba)
Qatl hue Murtaza (Aye mere Baba)
Waqt hai faryaad ka (Aye mere Baba)
Waqt hai faryaad ka (Aye mere Baba)
Qatl hue Murtaza (Aye mere Baba)
Qatl hue Murtaza (Aye mere Baba)
Waqt hai faryaad ka (Aye mere Baba)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1986
Personalities
Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
21 Ramadan
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.