Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phaile Hue

Nadeem Sarwar

1990Urdu
1990UrduImam HussainMuharram
Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phaile Hue is a 1990 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi. Celebrating the worldwide devotion of the mourners of Imam Hussain (a.s.), it reflects on faith, loyalty, justice, the teachings of Imam Ali (a.s.), and the enduring message of Karbala. The concluding verses recall Ashura, the suffering of Bibi Zainab (s.a.), Ali Asghar (a.s.), and the captivity of Imam Zainul Abidin (a.s.). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1990
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phaile Hue Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phaile Hue

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phaile Hue

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hum Hussaini Hain Duniya Mein Phaile Hue

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain Hussain Hussain ×4

Hum Hussaini hain duniya mein phaile hue
Hussain Hussain Hussain ×2
Sakhtiyan Karbala ki hain jhele hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Hum pe saaya wafa aur wafadar ka
Dhoop mein jaise saaya ho deewaar ka
Sar pe parcham hai Sheh ke alamdar ka
Har qadam badh rahe hain yeh kehte hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Hai yeh dharti agar Laal Shahbaz ki
Laal Shahbaz ke bhi wali hain Ali
Sarfarazi isi dar se sab ko mili
Wajd mein kyun na har ek Qalandar kahe
Hussain Hussain Hussain ×2

Khwaja Ajmer ho ya Nizam-o-Farid
Sheh ke dushman ko kehte hain yeh bhi Yazid
Sheh ka gham inke maslak mein haq ki naveed
Kitne aizaaz inko yeh keh kar mile
Hussain Hussain Hussain ×2

Haq-parasti ke duniya mein haami raho
Gar ho mazloom, zaalim ko badhne na do
Zer-e-khanjar Hussaini sada woh suno
Aaj bhi jisse zaalim hain dehle hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Mard woh hai jo waade ko poora kare
Zer-e-khanjar bhi haq baat kehta rahe
Sar rahe na rahe, ghar lute ya bache
Sirf tere aur qismat hain yeh hausle
Hussain Hussain Hussain ×2

Aandhiyan humko rokein yeh mumkin nahin
Woh gham-e-Sheh se modein yeh mumkin nahin
Rasm-e-gham kaise chhodein yeh mumkin nahin
Hum to roz-e-azal se hain tere hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Kul-e-imaan Mushkilkusha hain Ali
Keh rahe hain Nusairi Khuda hain Ali
Yeh Khuda jaanta hai ke kya hain Ali
Saare ausaaf Haider ke tujh mein mile
Hussain Hussain Hussain ×2

Khyber-o-Khandaq-o-Nahrawan-o-Jamal
Zarb-e-Haider ka koi nahin hai badal
Aye zamaane kabhi raah-e-Haider pe chal
Tera dil bhi milega yeh kehte hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Hum azadar hain kitne khuddar hain
Dete khushiyan jo gham ke talabgaar hain
Shaadi-o-gham mein Sarwar ke ghamkhwar hain
Ek hi naam hai lab kabhi jo hile
Hussain Hussain Hussain ×2

Ashk rokein agar hum to phat jaaye dil
Gar na maatam karein hum to kat jaaye dil
Apne markaz se mehwar se hat jaaye dil
Teri bazm-e-aza gar na humko mile
Hussain Hussain Hussain ×2

Hum Hussaini hain duniya mein phaile hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Haaye woh roz-e-Ashura, Sheh ki behan
Dekhti thi ujadta jo apna chaman
Khoon-e-Akbar, gulrang tha pairahan
De rahi thi sada ban mein sar peet ke
Hussain Hussain Hussain ×2

Teri maadar ka shab ko janaza utha
Teri hamsheer balwe mein hai be-rida
Haaye tujhko kafan bhi nahin mil saka
Zakhm ab tak hamaare nahin woh bhare
Hussain Hussain Hussain ×2

Ek nanhi si turbat banaayi thi jab
Bekasi pursa dene ko aayi thi jab
Laash-e-Asghar zameen ne chhupaayi thi jab
Daaman-e-sabr chhoota na kyun haath se
Hussain Hussain Hussain ×2

Koi poochhe jo Abid ke dil se zara
Hai safar Shaam-o-Kufa ka kaise kiya
Betiyan Fatima ki theen jab be-rida
Chalne dete na the paaon ke aable
Hussain Hussain Hussain ×2

Aye Rehan Azmi fikr ho bas yehi
Maatam-e-Sheh mein hone na paaye kami
Hai yehi zindagi, haan yehi bandagi
Mere ajdaad bhi mujhse yeh keh gaye
Hussain Hussain Hussain ×2

Hum Hussaini hain duniya mein phaile hue
Hussain Hussain Hussain ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1990
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.