Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Hussain Zindabad

Nadeem Sarwar

1999Urdu
1999UrduImam HussainMuharram
Hussain Zindabad is a 1999 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, and the title track of Hussain Zinda Bad, Vol. 19. The poetry contrasts the enduring legacy of Imam Hussain with the disgrace of Yazid, celebrating the victory of truth over oppression, the steadfastness of Bibi Zainab and the continued devotion of Hussaini mourners throughout the world.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1999
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Lyrics

Hussain Zindabad Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Hussain Zindabad

Hussain Zindabad

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Hussain Zindabad

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Suno Hussainiyo ×2

Hussain woh jo zer-e-tegh hans ke so gaya ×2
Yazid woh jo zillaton ka naam ho gaya ×2
Hussain woh jo marzi-e-Khuda khareed le
Yazid woh hai jiska koi naam bhi na le
Yazid zinda reh ke murdabaad ho gaya ×2
Hussain sar kata ke zindabad, zindabad, zindabad ho gaya

Zindabad ×5

Hussain Zindabad ×4

Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Quran mein, Hadees mein Yazid ka bayaan nahin ×2
Yazid ki to qabr ka kahin bhi koi nishaan nahin ×3
Haan ja-ba-ja hai dahr mein Hussain ki aulaad hai
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Buraaiyon ko dahr mein Yazid aam kar gaya ×2
Hussain se lara to apni maut aap mar gaya ×3
Yeh kal bhi murdabaad tha, yeh ab bhi murdabaad hai
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Har ek shareef zehn se Yazid itna gir gaya ×2
Kisi ne apne laal ka Yazid naam na rakha ×3
Yeh kal bhi naamuraad tha, woh ab bhi naamuraad hai
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Yazid waale takht par naseeb ke kharaab hain ×2
Hussain waale qaid mein bhi reh ke kaamyaab hain ×3
Hussainiyat ki thokarein Yazid aur Ibn-e-Ziyad hain
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Jahaan mein sabse zyaada ashk jiske naam par baha ×2
Zamaane laa, gham-e-Hussain ka koi jawaab laa ×3
Guinness Book ko bas mere Hussain se inaad hai
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Yazid ek laakh ho muqaable pe gham nahin ×2
Hussain waala ek ho to lashkaron se kam nahin ×3
Hussain ko bhi apne maatami pe aitmaad hai
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Ali ki beti Zainab-e-Hazeen Hussain ban gayi ×2
Shareekat-ul-Hussain thi, Yazidiyat pe chhaa gayi ×3
Hussain se parha hua sabaq jo isko yaad hai
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Taraana-e-Hussain hai, haan saath do Hussainiyo ×2
Hussain se muraad lo, muraad lo Hussainiyo ×3
Hussain jisko de de uski naslein ba-muraad hain
Hussain Zindabad ×4
Yeh kal bhi zindabad tha, woh ab bhi zindabad hai
Hussain Zindabad ×4

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1999
Personalities
Imam Hussain, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Legacy of Imam Hussain, Victory of truth over oppression, Resistance to Yazid, Continuity of Azadari
Original language
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.