Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Nadeem Sarwar

2000Urdu
2000UrduImam HussainMuharram
Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya is a 2000 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Jab Mula Aeinge, Vol. 20. Set at the grave of Bibi Sakina after the captivity in Shaam, the poetry portrays Imam Zainul Abidin calling to his young sister and telling her that the sacred head of her father Imam Hussain has returned.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2000
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Lyrics

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Jaag Sakina Jaag Baba Ka Sar Aaya

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ho gayi rihaayi, lo qaafila chala
Sar jab har ek shaheed ka Sajjad ko mila
Tab marqad-e-Sakina ×2 pe Sajjad ne kaha
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×3
Baba tumhaara aaya ×2 gaya waqt neend ka
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Seene pe sone waali, mitti pe so gayi ×2
Baba ko rote rote, jo khaamosh ho gayi ×2
Ro ro ke Maa ne qabr-e-Sakina pe yeh kaha ×2
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Bibi karo salaam, adab ka maqaam hai ×2
Bibi tere sarhaane, Shah-e-Tishna-Kaam hai ×2
Aye jaan jaldi badlo, yeh kurta phata hua ×2
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Baba ko dhoondti thi, Sakina utho utho ×2
Raaton ko jaagti thi, Sakina utho utho ×2
Lo aa gaye hain Baba, aye jaan jaag ja ×2
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Baba ke paas sona, na sona zameen par ×2
Rakho labon ko lab par, jabeen ko jabeen par ×2
Aada ki ghurkiyon ka zamaana guzar gaya ×2
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Paighaam roz deti thi Ammu ke naam tum ×2
Roti thi yaad karke unhein subh-o-shaam tum ×2
Jaago ke ja rahe hain jahaan sote hain Chacha ×2
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Kis tarah soyi baali Sakina na poochhiye ×2
Ranj-o-alam se phatta hai seena na poochhiye ×2
Jaagi na phir kabhi woh, bahut Maa ne di sada ×2
Jaag Sakina jaag, Baba ka sar aaya ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Captivity of Ahlulbayt, Martyrdom of Bibi Sakina
Original language
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.