Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jaao Ke Na Ab Dair Karo

Nadeem Sarwar

2005Urdu
2005Urdu
Jaao Ke Na Ab Dair Karo is Nadeem Sarwar's 2005 noha portraying Imam Hussain addressing Bibi Fatima in the final moments of Karbala, recounting the martyrs he has carried and asking his mother not to witness what comes next.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2005
Original
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Lyrics

Jaao Ke Na Ab Dair Karo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jaao Ke Na Ab Dair Karo

Jaao Ke Na Ab Dair Karo

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Jaao Ke Na Ab Dair Karo

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Qafila lut gaya Amma, mera lashkar na raha
Amma Nana ki nishani Ali Akbar na raha
Reh gaya dard-e-kamar, haye baradar na raha
Ab khabar aapne li ghar ki ke jab ghar na raha
Aur ab dam-e-zibha ye poore mere arman karna
Arsh ke neeche na balon ko pareshan karna

Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par ×3

Aap aayi hain Amma, main salami ko na utha
Hai dard kaleje mein jo uthne nahin deta
Hasrat thi tere pehlu mein dam mera nikalta
Main chain se so jata tere god mein Madar

Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Are kuchh dair mein naize pe rakha hoga mera sar
Na dekhna us waqt mujhe Madar-e-Muztar
Chal jayega us waqt tere qalb pe khanjar
Ghode abhi daudenge meri lash ke upar

Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Main subh se ta-asr uthata raha lashe
Daman mein chune Qasim-e-Naushah ke tukde
Lipta Ali Akbar ka kaleja tha seene se
Amma mere chehre pe hai Khoon-e-Ali Asghar

Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Is haal mein Amma hai teri god ka pala
Maqtal mein mera kho gaya har ek ujala
Hai kaun Sakina ko meri poochhne wala?
Soyegi mere seene pe kaise meri dukhtar?

Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Dekho to qayamat hai bapa Ahl-e-Haram mein
Khaime se nikal aayi hai Zainab mere gham mein
Ab aane ko hain Bibiyan bahar koi dam mein
Samjhao unhein Amma, rahein khaime ke andar

Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Lo saans ubharne lagi, dil doob raha hai
Nazron mein meri Zainab-e-Muztar ki rida hai
Abid se thi umeed, so woh ghash mein pada hai
Kya hoga mere baad Sakina ka muqaddar?

Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Aye Sarwar-o-Rehan, bayan kaise ho manzar
Sheh kehte the:
Amma ye kada waqt hai mujh par
Kis tarah kaleje se lagun aapke uth kar?
Kyun maangun qadam aapke ab main lab-e-Kausar?

Ke ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par
Jaao ke na ab dair karo, dekho na Amma
Ab Laal tera zeen pe hai aur na zameen par

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2005
Original language
Urdu
Album
Goonj Raha Hai Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.