Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Jab Gul Hua Charaagh-e-Haram Mulk-e-Shaam Mein

Mirza Dabeer

Urdu
Urdu
Jab Gul Hua Charaagh-e-Haram Mulk-e-Shaam Mein is a traditional Urdu marsiya mourning the death of Bibi Sakina (SA) during captivity in Shaam. The elegy describes Bibi Rabab's grief, Sakina's final moments, and the suffering she endured after the martyrdom of Imam Hussain (AS). Read the seven-stanza version in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Original
Urdu

Lyrics

Jab Gul Hua Charaagh-e-Haram Mulk-e-Shaam Mein Lyrics

WA

Jab Gul Hua Charaagh-e-Haram Mulk-e-Shaam Mein
Yaani Sakina Mar Gayi Yaad-e-Imam Mein
Shah Ke Salaam Ko Gayi Dar-us-Salaam Mein
Dekhe Sitam Yazid Ke Darbar-e-Aam Mein

Duniya Mein Daadras Na Mila Daad-Khwah Ko
Ja Kar Nishaan Tamachon Ke Dikhlaye Shah Ko

Ghul Par Gaya Hussain Ki Aashiq Ne Ki Qaza
Bano Ne Nabz Dekhi To Paya Na Dam Zara
Chillayi Sadqe Jaaun Mujhe De Gayi Dagha
Apne Kahi Na Meri Suni Haaye Kya Kiya

Asghar Ko Kuchh Payam Bhi Maine Diya Nahi
Tum Chal Basin Aur Amma Ne Rukhsat Kiya Nahi

Baba Ki Pyari Amma Ki Pyari Zaban Ko Khol
Layi Hoon Sharbat-e Meri Pyasi Zaban Ko Khol
Maan Ro Rahi Hai Deeda-e-Gohar Fishan Ko Khol
Mehman Gale Bandhe Na Ja Is Resman Ko Khol

Dadi Kurhegi Bibi Ki Zulfein Sanwar Loon
Lo Uthta Yeh Phata Hua Kurta Utar Loon

Asghar Ki Bholi Baatein Sunao Nisar Maan
Akbar Ka Zikr Kar Ke Rulao Nisar Maan
Saili Ka Neel Maan Ko Dikhao Nisar Maan
Baba Ko Dar Pe Ja Ke Bulao Nisar Maan

Matam Ke Ghulghule Hain Na Rone Ke Josh Hai
Bibi Jo Ab Khamosh Hai To Sab Khamosh Hai

Sar Dhanpne Ka Waqt Hai Pichhla Pahar Hua
Baba Ko Tere Roti Hoon Uth Saath De Mera
Kurte Se Munh Ko Dhanp Ke Pehlu Mein Baith Ja
Amma Ki Pyari Amma Ko Aawaz To Suna

Matam-Kada Yeh Ghar Tha Tere Bain Karne Se
Zindan Soona Ho Gaya Bibi Ke Marne Se

Yaan Kis Ke Paas Rehti Shah-e-Karbala Nahi
Bibi Ke Naaz Uthane Ki Khatir Chacha Nahi
Nadar Maan Hai Paani Nahi Aur Ghiza Nahi
Tere Kafan Ke Waste Haaye Haaye Rida Nahi

Amma Ke Paas Rehne Ki Ijazat Utha Chuki
Bibi Tamache Kha Chuki Gardan Bandha Chuki

Tum Ne Is Shaam Ko Mere Zaanu Pe Sar Rakha
Main Samjhi Thi Ke Kaanon Ka Kuchh Dard Kam Hua
Aayi Thi Sone Ko Jo Mere Paas Meh-Laqa
Is Dard-e-Na-Dawa Ki Khabar Thi Na Mutlaq

Aabaad God Ki Mujhe Barbaad Karne Ko
Soyi Thi Aaj Paas Mere Aa Ke Marne Ko
Jab Gul Hua Charaagh-e-Haram Mulk-e-Shaam Mein

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.