Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jab Hukm e Rehai Mila

Nadeem Sarwar

2011Urdu
2011Urdu
Jab Hukm e Rehai Mila is Nadeem Sarwar's 2011 noha portraying the first gathering of mourning after the release of the Ahlulbayt from imprisonment in Shaam. The verses describe Bibi Zainab establishing a farsh-e-aza and mourning the martyrs of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2011
Original
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Lyrics

Jab Hukm e Rehai Mila Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jab Hukm e Rehai Mila

Jab Hukm e Rehai Mila

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Jab Hukm e Rehai Mila

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab hukm-e-rehai mila
Zindan se Haram ko
Ek ghar bhi mayassar hua
Tarseeda-e-gham ko

Us ghar pe lagaya gaya
Ek siyah alam ko
Zainab ne kaha:
Rona hai dil khol ke humko

Phir Farsh-e-Aza
Milke aseeron ne bichhaya
Aur Shaam ke ghar ghar se
Paye pursa-o-girya
Ek ghol azadar khawateen ka aaya

Phir Majlis-e-Awwal ka
Yun aghaz hua tha
Us Majlis-e-Awwal ki
Jo awwal thi khateeba
Ghar bhar ki azadar
Wohi Zainab-e-Kubra

Khutba padha
Aghaz kiya Majlis-e-Gham ka
Haye khutba abhi jari tha
Ke ek shor sa utha:
Ke sar aate hain majlis mein
Shaheedan-e-sitam ke

Aye Bibiyo
Matam karo
Halqe mein Haram ke

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye pehle wahan
Ansar-e-Hussaini ke sar aaye
Hurr, John,
Habib ibn-e-Mazahir ke sar aaye
Wahab-e-Kalbi
Ausaja tashna-jigar aaye

Matam hua
Us pehle azakhane mein aise
Shahzadiyan roti hon
Sage bhai ko jaise

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye ek chand sa sar dekha
Ke jo khoon mein tar hai
Sab kehne lage:
Ye kisi naushah ka sar hai
Farwa ne kaha:
Haan ye mera lakht-e-jigar hai

Are Qasim
Mujhe sehra bhi
Dikhane nahin aaye
Are zindan se
Amma ko chhudane nahin aaye

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye do chhote se sar
God mein Sajjad jo laaye
Zainab ne kaha:
Aun-o-Muhammad mere aaye

Are qurban gayi
Koi meri god mein laaye
Royi nahin
Matam na kiya
Pyar to kar loon

Aye Bhai
Ijazat hai
Inhein aaj to ro loon

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye jaise hi
Azakhane mein Akbar ka sar aaya
Zainab ne
Sar-e-Aun-o-Muhammad ko hataya
Aghosh se bhabhi ki
Sar Akbar ka uthaya

Are chillayi:
Mere laal
Zara aankhein to kholo
Are Sughra ke liye
Hai koi paigham to bolo

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye ek chhote se Sayyid ka
Jo sar samne aaya
Munh ashkon se
Maa ne Ali Asghar ka dhulaya
Har Bibi ne
Us sar ko kaleje se lagaya

Are ro ro ke
Sakina ko sada deti thi Madar:
Are aa jao
Tumhein dhoond raha hai
Ali Asghar

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye sar aaya wahan
Jab Bani Hashim ke Qamar ka
Rote hue
Har Bibi ne dukhda ye sunaya:
Aye Zamin-e-Chadar
Tu bahut der mein aaya

Ye dekh ke
Har Bibi ka
Sad-chaak jigar tha
Ke pehlu mein alam ke hi
Alamdar ka sar tha

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye sar
Majlis-e-Shabbir mein
Shabbir ka aaya
Har Bibi ke lab pe thi sada:
Haye Hussaina

Matam ki sadaon mein
Ye Zainab ne sunaya:
Ke aye mere Akhi
Dekh teri Farsh-e-Aza hai
Matam tera
Is Majlis-e-Awwal mein
Bapa hai

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Haye loote hue asbab mein
Jo cheezein mili thin
Sadat se ye
Shaam-e-Ghareeban mein
Chhini thin

Tar khoon mein
Do baliyan bhi
Unmein rakhi thin

Aye Sarwar-o-Rehan
Azadari-e-Sheh ka
Tha pehla azakhana
Saron se jo saja tha

Haye hum lut gaye
Haye barbaad hue
Haye qaidi bane
Haye dar dar phire
Haye matam karo

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2011
Original language
Urdu
Album
Hamaray Hain Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.