Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jab Hussaina Ki Sada

Nadeem Sarwar

1989Urdu
1989UrduImam HussainMuharram
Jab Hussaina Ki Sada is an Urdu Noha attributed to Nadeem Sarwar, recounting the suffering of Bibi Sakina in the prison of Shaam. The verses describe her dream of Imam Hussain, Imam Zainul Abidin's grief, the visit of Hind to the prison and the recognition of the captive Ahlulbayt. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1989
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Jab Hussaina Ki Sada Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jab Hussaina Ki Sada

Jab Hussaina Ki Sada

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Jab Hussaina Ki Sada

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab Hussaina ki sada kaanon se takraati hai
Kya bataaun mera dil tukre kiye jaati hai

Jab hui Shaam ke zindaan mein qayaamat barpa ×2
Bibiyaan seena-o-sar peet ke karti thin buka
Aa ke kuch logon ne darwaaze pe Aabid se kaha
Kya hui taaza jafa, rote hain jo Aal-e-Aba
Is se pehle na suni is tarah faryaad-o-fughaan ×3
Kya kisi fard ne is qaid mein dam tod diya ×3

Ro ke Aabid ne diya Shaam ke logon ko jawaab
Meri masoom behan ne abhi dekha hai khwaab
Ho ke bedaar woh Baba ke liye hai betaab
Laakh behlaate hain par woh nahin paati hai taab
Woh jo roti hai to sab Ahl-e-Haram rote hain ×3
Apni majboori-o-mahsoori pe jaan khote hain ×3

Woh yeh kehti hai ke Baba se mila do mujhko
Marti hoon Shaam ke zindaan mein, jila do mujhko
Is aseeri ki jafaaon se chhura do mujhko
Mere bichhre hue Baba ko dikha do mujhko
Is andhere mein tasalli woh mujhe dete the ×3
Aaye the Baba mere paas, yahaan baithe the ×3

Dar-e-zindaan pe yahaan karte the Aabid yeh buka
Hind ne poochha kaneezon se mahal mein yeh wahaan
Jaa ke dekho to kahaan hota hai yeh shor-o-fughaan
Sun ke yeh aah-o-buka tan hai hamaara larzaan
Jab Hussaina ki sada kaanon se takraati hai ×3
Kya bataaun mera dil tukre kiye jaati hai ×3

Algharaz pahunchi jo hi Hind dar-e-zindaan par
Qufl zindaan ka darbaanon ne khola barh kar
Qaidkhaane mein jo daakhil hui woh nek-siyar
Jakra zanjeeron se ek qaidi use aaya nazar
Rukh pe parte hi nazar ho gayi hairaan shashdar ×3
Dil mein kehne lagi ho khair aye Rabb-e-Akbar ×3

Kis qadar noor hai is qaidi ke rukh par Wallah
Shakl-o-soorat se yeh lagta hai Ali ka pota
Phir kaha dil se ke tu sochta hai kyun aisa
Meri aankhon ki yeh beenaai ki shayad hai khata
Ibn-e-Shabbir hai Sajjad woh shehzaada hai ×3
Aise jakrein ge Musalmaan, woh Nabi-zaada hai ×3

Laundiyaan mash'alein thaame hue kuch aage barheen
Dekha yeh Hind ne kuch bibiyaan hain khaak-nasheen
Sar pe chaadar nahin, baalon se chhupaaye hain jabeen
Noor chehron ka bataata hai ke hain arsh-makeen
Jis taraf Hind ki zindaan mein nazar jaati hai ×3
Koi Zainab koi Kulsoom nazar aati hai ×3

Boli phir thaam ke dil, bibiyo itna to bataao
Kyun hai yeh aah-o-buka, apna kuch ahwaal sunaao
Mujh se kya parda hai, chehron se zara baal hataao
Apne in aansuon ko roko, Khudaara na bahaao
Aap ko dekha hai jab se to nahin dil ko chain ×3
Tukre hota hai jigar sunti hoon jab naam-e-Hussain ×3

Mujhko lagta hai koi tum mein hai Bano, Farwa
Woh jo dil pakre hai woh lagti hai Umm-e-Laila
Mehndi haathon mein hai jiske woh hai shakl-e-Kubra
Zauj-e-Abbas se milti hai woh bibi Wallah
Kis zabaan se kahoon jo dekhti hoon main manzar ×3
Munh ko aa jaayenge sadme se mere qalb-o-jigar ×3

Hind karti thi yahaan bibiyon se yeh guftaar
Maayil-e-girya hui baali Sakina ek baar
Daur kar Hind gayi uske qareeb haalat-e-zaar
God mein le ke kiya usne Sakina ko pyaar
Boli takleef hai kya, haal meri jaan sunaao ×3
Roti ho kis liye, kya chaahiye kuch hamko bataao ×3

Darte darte yeh bayaan baali Sakina ne kiya
Qaidkhaane mein abhi aaye the mere Baba
Unke hamraah the bhaiya Ali Akbar-o-chacha
Aaye the lene hamein, chhor gaye phir tanha
Mujhse bichhre hue Baba mere mil jaayenge ×3
Main bhi so jaaungi, yeh sab bhi sukoon paayenge ×3

Zabt Zainab se nahin ho saka, boleen ro kar
Hind kya poochhti hai, kya nahin kuch tujhko khabar
Qaatil-e-Hazrat-e-Shabbir hai tera shauhar
Baithi hai god mein tere, yeh hai Sheh ki dukhtar
Hind pehchaan le, Zehra ki yehi poti hai ×3
Baap ke sar ke liye roti hai, jaan khoti hai ×3

Ab nahin taab-e-bayaan dil mein Anees-e-Shabbir
Hai jo tareekh-o-maqaatil ki kutub mein tehreer
Hota hai tukre jigar parh ke buka-e-hamsheer
Khoon ugalta hai qalam likhte hue haal-e-sagheer
Khatm karta hoon riwaayat ko yeh kar ke Noha ×3
Beti ko lene sar-e-Shah-e-Huda aaya tha ×6

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Aseeri-e-Ahlulbayt, Shahadat-e-Bibi-Sakina
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.