Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah

Nadeem Sarwar

2010Urdu
2010Urdu
Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah is Nadeem Sarwar's 2010 title noha linking the remembrance of Imam Hussain with tawheed and namaz. Its extended verses move from the severed head of Hussain reciting upon the spear to the prayers of the Ahlulbayt and the final sajda of Ashura.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Original
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Lyrics

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Jahan Hussain Wahan La Ilaha Illallah

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain
Hussain
Hussain

Chiragh jalta raha
Jo qafila tha rawan
Woh qafila hai rawan
Safar ba nok-e-sinan
Sinan ke sath azan

Bureeda sar ki sadayein
Fiza mein phail gayin
Dareechon, aanganon, galiyon mein
Tapte sehra se
Zameen-o-arsh, khalaon se
Aur fizaon se
Dinon mein, raat mein
Jangal mein, kohsaron se
Sadayein aane lagin:

Ashhadu an la ilaha illallah

Ye ek baar hua
Aur la-zawal hua
Sinan ki nok pe:
Subhana Rabbiyal A'la
Pukara Kalma-e-Tauheed bhi:
Jazak Allah

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Hussain deen bhi hai
Aur deeniyat bhi hai
Hussain Kalma-e-Tauheed ki
Hayat bhi hai
Hussain ramz-e-Khuda bhi
Khuda-sifat bhi hai
Hussain barah Imamon ki
Kainat bhi hai
Hussain se hai ayaan
La Ilaha Illallah

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Woh god Fatima Zahra ki ho
Ke reg-e-tapan
Woh sehn-e-Kaaba ho
Pusht-e-Rasool
Ya ke sinan
Faza-e-jang ho
Ya ho payam-e-amn-o-aman
Na dekhein teer
Na talwar
Gar ho hukm-e-azan
Hussain ka hai bayan:
La Ilaha Illallah

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Hussain walon ki
Pehchan hai azadari
Hussain walon ki
To jaan hai azadari
Hussain walon ka
Iman hai azadari
Hussain walon ka
Elan hai azadari
Hussainiyat ki zaban:
La Ilaha Illallah

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Basi hai Karb-o-Bala
To koi jawaz bhi hai
Luta hai Gulshan-e-Zahra
To koi raaz bhi hai
Ye raaz woh hai
Ke Khaliq ko is pe naaz bhi hai
Baraye naaz
Bahattar ki woh namaz bhi hai
Isi ka sirr-e-nihan:
La Ilaha Illallah

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Namaz nafs ki izzat hai
Auliya ki qasam
Namaz deen ki hurmat hai
Ausiya ki qasam
Namaz husn-e-sharafat hai
Anbiya ki qasam
Namaz qissa-e-wahdat hai
Kibriya ki qasam

Namaz khair-e-amal ki taraf bulati hai
Namaz ishq-e-Khuda ka hunar sikhati hai
Namaz abd ko Mabood se milati hai
Namaz guftagu Allah se karati hai
Yehi namaz gunahon se bhi bachati hai
Namaz qabr talak sath sath jati hai

La Ilaha Illallah

Namaz woh hai
Jo faqon mein Mustafa ne padhi
Jaga ke apne hi qatil ko
Murtaza ne padhi
Jo chakkiyon ki mashaqqat mein
Fatima ne padhi
Gale laga ke zehar ko
Jo Mujtaba ne padhi

Jo chahta hai
Ke azmat namaz ki dekhe
Mere Hussain ka
Woh sajda-e-akhri dekhe

Padhi namaz jo Abid ne
Pusht-e-naqa par
Ada kiya jise Baqir ne
Sakhtiyan seh kar
Bayan kiya jise Jafar ne
Bar-sar-e-mimbar
Ruku mein barson rahe
Jis ke Kazim-e-muztar

Raza ne lab pe
Sari al-Raza saja ke padhi
Taqi ne taqwa-e-Abu Talibi
Bata ke padhi
Naqi ne nakhwat-e-batil
Mita mita ke padhi
Aur Askari ne
Khabar akhri suna ke padhi

Pas-e-namaz
Musalle pe ro raha hai koi
Imam-e-Asr hai
Aur Hujjat-e-Khuda hai wohi

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Woh khaimagah
Woh Sayyadaniyan
Woh zikr-e-Khuda
Jahan musalle pe
Zainab, Rubab aur Fizza
Hasan ki bewa
Ruqayya, Sakina ka sajda
Tamam Bibiyan
Karti thin sirf ek dua:

Mere Khuda
Hamein manzoor
Qahat-e-aab rahe
Hussain apne iradon mein
Kamyab rahe

Sada-e-tishnalaban:
La Ilaha Illallah

Jahan Hussain
Wahan La Ilaha Illallah
Khateeb-e-nok-e-sinan
La Ilaha Illallah

Magar namaz se poochho
Ke Karbala kya hai
Hussain aur tera
Rishta-e-wafa kya hai

Kaha namaz ne:
Sun lo meri baqa kya hai
Bas ek sajda-e-Shabbir ke
Siwa kya hai

Hussain hi ka gharana
Bacha gaya mujhko
Woh khud ujad gaya
Lekin saja gaya mujhko

Mayan-e-Karb-o-Bala
Aah, maine kya dekha
Ghira laeenon mein
Kunba Rasool ka dekha
Batool-zadon ko
Be-aab-o-be-ghiza dekha
Bahata pani udhar
Lashkar-e-jafa dekha

Namaz padhte rahe
Dil mein iztirab na tha
Guzar gaye the kai din
Ke ghar mein aab na tha

Bataun kaise
Ke daswin ko maine kya dekha
Sahar hui
To shahadat ka silsila dekha
Kisi ka seena to zakhmi
Koi gala dekha
Lab-e-Furat
Alam khoon mein bhara dekha

Hussain lashon pe lashein
Yunhi uthate rahe
Aur apni rah-e-shahadat ki samt
Jate rahe

Kamar ruku ki tarah thi
Magar Hussain uthe
Ke Ahl-e-Zulm pe
Lazim tha ab ke tegh chale

Ghazab ki tegh chali
Koi rokta kaise
Imam-e-Waqt the
Allah ki raza pe ruke

Azan-e-Asr suni
Dekha Aalam-e-Bala
Kaha Hussain ne:
Subhana Rabbiyal A'la

Aayi sada-e-ghaib:
Ibadat ka waqt hai
Aye Fatima ke Laal
Tilawat ka waqt hai
Jannat mein saf bandhi hai
Imamat ka waqt hai
Bas bas Hussain bas
Ye ibadat ka waqt hai

Rakh li mayan mein
Shah-e-Wala ne Zulfiqar
Woh ghol bandhe aaye
Kamandar das hazar
Woh beshumar
Teghon ke phal
Aur ek Hussain
Woh sainkron
Payam-e-ajal
Aur ek Hussain

Doobe hue the
Khoon mein gesu Hussain ke
Teeron ne chhan dale the
Pehlu Hussain ke
Naize ka Ibn-e-Wahab ne
Pehlu pe kiya waar
Kandhe pe chali
Sath Zarara ki bhi talwar
Nawak Ibn-e-Kahil ka
Kaleje ke hua paar
Bazu mein dar aaya
Tabar-e-Kholi-e-khoonkhwar

Teghen uthi hui
Jo barabar se chal gayin
Ghash kha gaya
Qadam se rikaben nikal gayin

Kyun kar kahun
Ke Arsh-e-Khuda
Khak par gira
Khair-un-Nisa ka
Mah-e-laqa khak par gira
Reti pe Mustafa ke
Jigar ka lahu gira
Sayyid gira
Imam gira
Nek khoon gira

Woh zulm ho raha tha
Ke duniya ulatti thi
Jab zer-e-tegh
Gardan-e-Shabbir katti thi
Woh kund tegh
Zainab-o-Zahra pe chalti thi
Matam-kunan namaz thi
Aur khoon roti thi

Jari thi ye sada:
Ke Nabi ka nawasa hoon
Amma, pilao pani
Main pyasa hoon

Ya Hussain ×4

Ajab ada se
Jab namazi namaz padh ke gaya
Behen ke samne
Nok-e-sina pe chadh ke gaya
Nazar mein Bhai ke
Sajdon ki aab-o-tab jo thi
Behen ne sar khule
Maqtal mein Maghribain padhi

Nazar ke samne
Har mah-e-laqa ki lash rahi
Magar jale hue khaimon ki
Ja-namaz bichhi

Gham-e-Hussain ki
Barchhi utha gayi Zainab
Magar namaz ki
Duniya basa gayi Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Original language
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.