Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Jaise Pinjre Mein Ho Koi Panchi

Nadeem Sarwar

2002Urdu
2002UrduBibi SakinaMuharram
Jaise Pinjre Mein Ho Koi Panchi is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar in the 2002 Karbala Aam Kare (Volume 22) collection. It reflects on prison of shaam. Read Roman lyrics, the Urdu/Shahmukhi text, and an English translation with the YouTube recording.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2002
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Lyrics

Jaise Pinjre Mein Ho Koi Panchi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Jaise Pinjre Mein Ho Koi Panchi

Jaise Pinjre Mein Ho Koi Panchi

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Jaise Pinjre Mein Ho Koi Panchi

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sabr kaise ho Rehan-o-Sarwar
Hum to aaye hain khud Shaam ho kar
Aaj bhi shaam dhalti hai jab bhi
Ek sada kaat-ti hai kaleja
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Kabhi Amma ke pehlu mein rona
Kabhi bhaiya se apne lipatna
Kabhi takraana deewaar-o-dar se
Kabhi zindaan ke dar par yeh kehna
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Aise chakraati phirti thi bachchi
Jaise pinjre mein zakhmi ho panchi
Kaise taar-e-qafas torh daale
Ho rihaai ka koi qareena
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Maut se pehle aa jaao Baba
Yeh Sakina pe ehsaan hoga
Baad mere na Baba yeh kehna
Maine tum ko pukaara nahin tha
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Aye phuphi ab mera dil hai kehta
Mujh ko mil jaayega mera Baba
Daadi Zahra ki maano kahaani
Mil gaya tha sunaaran ka beta
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Ho gayi khair aaya na Asghar
Woh to mar jaata zindaan mein ghut kar
Kaise sota andhere mein bhaiya
Qaid ho jaata zindaan mein jhoola
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Haaye khoon mein bhara sar jo aaya
Baap ke sar se beti ne poochha
Munh pe munh rakh ke so na sakungi
Hai kahaan mere Baba ka seena
Aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Sabr kaise ho Rehan-o-Sarwar
Hum to aaye hain khud Shaam ho kar
Aaj bhi shaam dhalti hai jab bhi
Ek sada kaat-ti hai kaleja, aao Baba Jaan
Jaise pinjre mein ho koi panchi
Aise zindaan mein hai Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2002
Personalities
Bibi Sakina, Sayyida Zainab, Imam Hussain, Ali Asghar, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Prison of Shaam, Longing for a father, Captivity of Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.