Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kaisa Hai Sitam Maula

Nadeem Sarwar

1992Urdu
1992UrduBibi SakinaMuharram
Kaisa Hai Sitam Maula is an Urdu devotional noha recited by Nadeem Sarwar on the 1992 Volume 12 album. Its verses remember imprisonment of sakina in shaam. Read the Roman-script lyrics, original script, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1992
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Lyrics

Kaisa Hai Sitam Maula Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kaisa Hai Sitam Maula

Kaisa Hai Sitam Maula

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Kaisa Hai Sitam Maula

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×8
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×4

Bin baap ki bachchi hai aur Shaam ka zindaan ×2

Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Jis roz se bichhri hai baba se chacha se
Masooma ne rone par khaaye hain tamaanche
Rassi ki aziyyat se dam ghutta hai har aan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Aaraam se soti thi jo baap ke seene par
Zindaan mein mila us ko ab khaak ka bistar
Rukhsaar bhi zakhmi hain, tar khoon se hue kaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Zindaan ka andhera hai aur yaas ka pehra
Is yaas ke aalam mein Abbas ka chehra
Yaad aata hai reh reh ke, woh hoti hai bejaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Zindaan ka koi gosha hota jo hawadaar
Ghut ghut ke woh marti na, zinhaar
Zindaan se rihaai ka mar kar hua saamaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Sar pe thi yateema ke sehra ki pari khaak
Aur jism ke zakhmon se chipki hui poshaak
Jo mar gayi zindaan mein us bachchi ke qurbaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Kehti thi phuphi Ammaan kab hogi rihaai
Kya koi khabar mere ammu ki bhi aayi
Le jaayenge zindaan se kab mujhko chacha jaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Ro ro ke woh kehti thi har waqt phuphi se
Jaate hain kahan urh ke sar-e-Shaam parinde
Hum bhi kabhi ghar jaayen, kya is ka hai imkaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Kyun Ammaan ki godi mein Asghar nahin mera
Kya loota gaya Ammaan masoom ka jhoola
Laa do mere bhaiya ko, mujh par karo ehsaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Main waari gayi Ammaan, baba se mila do
Jis seene pe soti thi phir us pe sula do
Jeene ki nahin hoon main, lamhon ki hoon mehmaan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Ab bhi dar-e-zindaan se aati hain sadaayein
Baba mujhe zindaan ki museebat se bachaayein
Bachchi ki sada kya hai, noha tera Rehan
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Bin baap ki bachchi hai aur Shaam ka zindaan ×2
Kaisa hai sitam Maula, Tu kaisa hai Rehmaan ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1992
Personalities
Bibi Sakina, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Asghar
Occasion
Muharram
Themes
Imprisonment of Sakina in Shaam, Orphanhood and suffering
Original language
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.