Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kehti Thi Zainab Haye Hussaina

Nadeem Sarwar

1999Urdu
1999UrduSayyida ZainabMuharram
Kehti Thi Zainab Haye Hussaina is a 1999 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Hussain Zinda Bad, Vol. 19. It portrays Bibi Zainab lamenting the destruction of her household in Karbala, recalling the martyrdom of Imam Hussain, Ali Akbar and Hazrat Abbas, the loss of her sons and the suffering of captivity as she prepares for the journey to Shaam.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1999
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Lyrics

Kehti Thi Zainab Haye Hussaina Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kehti Thi Zainab Haye Hussaina

Kehti Thi Zainab Haye Hussaina

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Kehti Thi Zainab Haye Hussaina

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Hussaina ×4

Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Karbala kuch na diya karb-o-aziyyat ke siwa
Mere daaman mein bacha kya hai museebat ke siwa
Karbala tujhse mila kya hai qayaamat ke siwa ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Subh-e-Ashoor azaan-e-Ali Akbar ki qasam
Mere bhai pe chale teer hazaaron paiham
Chup rahi Karbobala, hote rahe hum pe sitam ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Mera atharah baras waala jiyaala Akbar
Kha gayi usko bhi aye Karbobala teri nazar
Maine dekha hai usi laal ka barchhi mein jigar ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Bhai atharah thay, do bete thay, koi na raha
Ab to tanhaayi meri deti hai mujhko pursa
Kya bhara ghar tha mera, kar diya mujhko tanha ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Mere Abbas pe kya guzri bataaun kaise
Mashk ek bharne mein do baazu qalam ho ke gire
Uske marne se hai mehroom behan chaadar se ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Be-khata qatl hua bhai mera jangal mein
Sainkron zakhm kaleje pe lage ek pal mein
Aag paani ne laga di hai mere aanchal mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Mere Allah mujhe Shaam talak jaana hai
Koi bhi apna nahin, shehar bhi begaana hai
Teri khushnudi mein rassi mein mera shaana hai ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina ×2

Ho gayi barbaad yeh behna, Karbobala mein ×2
Kehti thi Zainab, Haye Hussaina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1999
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Ali Akbar, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Themes
Lament of Sayyida Zainab, Martyrdom of the family of Imam Hussain, Captivity of Ahlulbayt, Journey from Karbala to Shaam
Original language
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.