Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kisko De Sada Zainab

Nadeem Sarwar

1989Urdu
1989UrduImam HussainMuharram
Kisko De Sada Zainab is a 1989 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar. It portrays Bibi Zainab calling upon Hazrat Abbas after the martyrdom of Imam Hussain, as the enemy army approaches the tents. The verses remember Ali Akbar, Ali Asghar, Qasim, Bibi Rabab and the illness of Imam Zainul Abidin. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1989
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Kisko De Sada Zainab Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kisko De Sada Zainab

Kisko De Sada Zainab

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Kisko De Sada Zainab

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab laasha-e-farzand-e-Nabi ho gaya paamaal
Us waqt ajab haal mein thi Fatima ki Aal
Tareekh ne kuch is tarah likha hai woh ahwaal
Sab bibiyon mein ek tha bibi ka bura haal

Bechaini se aati thi dar-e-khaime pe har baar
Bachchon ko samete hue kehti thi dil-afgaar
Haaye
Bachchon ko samete hue kehti thi dil-afgaar

Aye jari, diler, bawafa ×2
Baazu-e-Shaheed-e-Karbala
Jaan-e-Fatima-o-Murtaza ×2
Tashna-lab Sakina ke chacha

Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Aye Hussain ke bhai ×2
Aye jari, diler, bawafa ×2
Baazu-e-Shaheed-e-Karbala
Jaan-e-Fatima-o-Murtaza ×2
Tashna-lab Sakina ke chacha
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Arey aap ko nahin hai yeh khabar
Lut gaya hai Fatima ka ghar
So rahe ho jaa ke nehr par
Neze pe rakha hai Sheh ka sar
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Hai Akbar-e-jawaan nahin raha
Be-zubaan bhi qatl ho gaya
Qasim-e-hazeen bhi chal basa
Khaatima hua sipaah ka
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Kis tarah bataaun ran ka haal
Laash ko karenge paamaal
Bhai ka karo to kuch khayaal
Shah-e-La-Fata ke laal
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Arey karti hai Rabab yeh fughaan
Hone ko hai raat ab ayaan
Ran mein hai hamaara be-zubaan
Le ke aayein usko bhai jaan
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Khaimon ko jala na dein la'een
Loot lein na maal-o-zar kahin
Kya karega Aabid-e-hazeen
Usko tap se hosh hi nahin
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Arey fauj-e-Shaam baani-e-jafa
Jaan ke akela be-nawa
Kar de zulm ki na intiha
Chheen le na aa ke yeh rida
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai ×2

Arey kin jafaaon ka ho tazkira
Shaam-e-gham mein Aal-e-Mustafa
Ho gayi ghamon mein mubtala
Lab pe thi Anees yeh buka
Arey kisko de sada Zainab ×2
Fauj ab qareeb aayi
Aye Hussain ke bhai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.