Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar

Nadeem Sarwar

1989Urdu
1989UrduImam HussainMuharram
Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar is a 1989 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar. It portrays Imam Zainul Abidin remembering the suffering of the Ahlulbayt during their captivity in Kufa and Shaam, including the humiliation of Bibi Zainab, the grief of Bibi Sakina and the cruelty of the public courts. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1989
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar

Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Kufe Ka Aur Shaam Ka Manzar

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Kufe ka aur Shaam ka manzar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Qabr pe Shabbir ki karte thay Aabid buka
Ho gayi kya kya jafa, suniye Shah-e-Karbala
Sar pe kisi ke na thi chaadar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Ek rasan mein baandhe chhote badon ke gale
Bar-sar-e-darbaar sab is tarah laaye gaye
Kothon se barsaate thay patthar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Kufe ke bazaar mein, majma-e-kuffaar mein
Ek tamaasha sa tha Aal-e-sitamgaar mein
Aise mein maa behnein khule sar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Tauq se hargiz na tha Baba mera sar jhuka
Hathkadi aur bedi ka koi mujhe gham na tha
Dekha nahin jaata tha manzar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Baali Sakina ka gham dil yeh nahin bhoolta
Sab ke thay shaane bandhe, uska bandha tha gala
Dard se woh roti thi muztar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Meri phuphi jaan thi balwe mein jo sar khule
Neze se Ammu mere farsh pe gir padte thay
Haaye chacha jaan ka safar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Le ke gaye jab hamein bazm-e-sitamgaar mein
Saat sau kursi-nasheen baithe thay darbaar mein
Takht pe baitha tha sitamgar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Jab kiya Sajjad se aa ke kisi ne sawaal
Guzra kahaan par Imam aapko zyaada malaal
Kehte thay Ash-Shaam muqarrar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Maqtal-o-tareekh bhi kar na sake haq ada
Likkhe Anees-e-hazeen girya-e-Aabid ko kya
Kehte thay yeh Aabid-e-muztar
Yaad jab aa jaata hai Baba
Dil mera phat jaata hai Baba
Kufe ka aur Shaam ka manzar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Aseeri-e-Ahlulbayt
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.