Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kullo Yaumin Ashura

Nadeem Sarwar

1996Urdu and Arabic
1996Urdu and ArabicImam HasanMuharram
Kullo Yaumin Ashura is a 1996 Urdu and Arabic Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi. From Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16, it reflects on the message of Karbala, the suffering of the Ahlulbayt, the devotion owed to Imam Hussain, and the enduring remembrance of Ashura. Read the Roman transliteration, Urdu and Arabic text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1996
Personalities
Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu and Arabic
Album
Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16

Lyrics

Kullo Yaumin Ashura Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kullo Yaumin Ashura

Kullo Yaumin Ashura

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Kullo Yaumin Ashura

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Kabhi Nabi ke kalma-go the, kabhi namaazein parhte the
Karbobala mein Sibt-e-Nabi ke khoon ke lekin pyaase the
Hifz kiya Quran magar yeh qaul-e-Nabi na yaad raha ×2
Harbun liman haarabakum wa silmun liman saalamakum ×2
In se rifaaqat mujh se rifaaqat, inka adu dushman hai mera
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Sabko khabar hai, sabko pata hai Khuld-e-Bareen ke maalik hain
Saaqi-e-Kausar, Qasim-e-Jannat, arsh-o-zameen ke maalik hain
Shimr-e-sitamgar soch zara, tu kaat raha hai kiska gala ×2
Aduwwun liman aadakum wa muhibbun liman ahabbakum ×2
Inka adu hai mera dushman, dost hai inka dost mera
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Lahmuka lahmi, damuka dami, nafsuka nafsi jin ko kaha
Pyaar na bas Hasnain-o-Zehra, Maula Ali the zer-e-kisa
Sad afsos bhulaaya tumne qaul-e-Rasool-e-Akram ka ×2
Rooh-e-Payambar, rooh-e-Zehra, kyun na kare phir wa-waila
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Jiske liye Tatheer ki chaadar aayat ban kar aayi thi
Dasht-e-bala mein nange sar woh Zainab, Zehra-jaayi thi
Baalon se parda karti thi, karti thi yeh aah-o-buka ×2
Qatl kiya mere bhai ko, chheen li mere sar se rida
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Bare Nabi ke zulm uthaaye ahl-e-sitam ne Zehra par
Qatl kiya jalti reti par Bint-e-Nabi ka lakht-e-jigar
Ek taraf tha pyaas ka chehra, ek taraf behta darya ×2
Laasha-e-Sarwar ahl-e-jafa ne ghoron se paamaal kiya
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Subh-e-daham Shabbir ne jab Akbar se kaha azaan kaho
Waqt-e-shahaadat aa pahuncha hai, shukr-e-Khuda har aan karo
Hum naatiq-e-Quran hain beta, Quran suno, Quran parho ×2
Teri azaan aaghaaz hai beta, aur anjaam sajda mera
Ya Hussain, Ya Hussain
Kullo yaumin Ashura, kullo arzin Karbala ×2
Ya Abal-Abrar ×2
Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1996
Personalities
Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu and Arabic
Album
Allah Bohat Bara Hai, Vol. 16

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.