Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Maa Bulati Hai Aa Aye Hussain

Nadeem Sarwar

2004Urdu
2004UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Maa Bulati Hai Aa Aye Hussain by Nadeem Sarwar is a noha from the 2004 Volume 24 recording, reflecting on farewell of sayyida fatima zahra and mother and son. Read Roman Urdu, Urdu script and English translation with preserved refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2004
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah, Muharram
Original
Urdu
Album
Shah Astt Hussain (Volume 24, 2004)

Lyrics

Maa Bulati Hai Aa Aye Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Maa Bulati Hai Aa Aye Hussain

Maa Bulati Hai Aa Aye Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Maa Bulati Hai Aa Aye Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Bistar se tharthara ke uthi, thaam kar asaa
Qabr-e-Nabi pe Fatiha-e-aakhri parha
Hamsaayon ke ghar gayin rukhsat ko aur kaha
Lo saahibo, bahaal karo, ab kaun hai mera
Eez a thi tum sabhon ko mere shor-o-shain se
Kal Fatima na hogi, sooge tum chain se

Naagaah shor utha ke Zahra guzar gayin
Amaama sar se phenk ke roye Imam-e-Deen
Roti thin mil ke Zainab-o-Kulsoom bhi qareeb
Aur door the Hussain, jo aate na the qareeb
Fizza pukaari, aap yahaan kya na aayenge?
Bole Hussain, Amma pukaaren to jaayenge

Toote band-e-kafan Fatima ke, aur phir haath nikle kafan se
Aayi aawaaz, aa aye Hussain, Maa bulaati hai aa aye Hussain
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Aye Shabbir, Zahra ke lab yun hile ×2
Chakkiyaan pees ke maine paala tujhe
Aa mere laal aa, maa ke lag ja gale
Waqt-e-rukhsat hai, aise nahin roothte
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Teri khaatir main jaa kar palat aayi hoon
Dekh kar tere aansu main ghabraayi hoon
Dekh zer-e-kafan gham se tharraayi hoon
Tujh ko behlaane Jannat se main aayi hoon
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Aa mere laal aa, ek yeh kaam kar
Mere seene pe kuch der aaraam kar
Tu to chalta tha ungli meri thaam kar
Yaad woh subh kar, yaad woh shaam kar
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Tu ne khaana bhi khaaya ke khaaya nahin?
Keh de maa se ke aaj tu pyaasa nahin
Subh se munh kisi ne dhulaaya nahin
So gayi main, tujhe kyun sulaaya nahin?
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Dast-e-Zainab mein phir de ke dast-e-Hussain
Boli Zahra kafan mein ba-sad shor-o-shain
Dekh Zainab, meri laadli noor-e-ain
Yeh jo roya to Zahra na paayegi chain
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Jaaiyo saath iske yeh jaaye jidhar
Mere bachche ki Zainab hai tu humsafar
Karbala ka musaafir hai mera pisar
Gham ki badli na chhaaye mere chaand par
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Haaye Karb-o-Bala mein woh din aa gaya
Shimr ka halq-e-Sarwar pe khanjar chala
Amma, Amma ki aane lagi jab sada
Baal bikhra ke Zahra ne ro kar kaha
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Kaise Rehan-o-Sarwar sar-e-Karbala
Apne bachche ki gardan pe tegh-e-jafa
Dekhti hongi Zahra sar-e-Karbala
Goonjti hogi dasht-e-bala mein sada
Maa bulaati hai aa aye Hussain ×2
Aa mere paas aa aye Hussain ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2004
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Sayyida Umm Kulthum, Prophet Muhammad
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah, Muharram
Themes
Farewell of Sayyida Fatima Zahra, Mother and son
Original language
Urdu
Album
Shah Astt Hussain (Volume 24, 2004)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.