Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Maa Main Naize Pe Hoon

Nadeem Sarwar

2000Urdu
2000UrduImam HussainMuharram
Maa Main Naize Pe Hoon is a 2000 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Jab Mula Aeinge, Vol. 20. The poetry imagines infant Ali Asghar speaking to his mother Bibi Rabab from the tip of a spear, expressing his longing for her embrace and recalling the cruelty suffered by Imam Hussain's family after Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Lyrics

Maa Main Naize Pe Hoon Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Maa Main Naize Pe Hoon

Maa Main Naize Pe Hoon

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Maa Main Naize Pe Hoon

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Neze se Asghar ko nazar aayi jo maadar
Dekha khula sar hai, pareshaan hai muztar
Rone lage, kehne lage tab Ali Asghar
Maa mujhe apne seene se laga le
Maa mujhe apni godi mein chhupa le ×2

Maa main naize pe hoon ×2
Maa mujhe apne seene se laga le
Maa mujhe apni godi mein chhupa le
Maa main naize pe hoon ×2

Amma bahut din hue jhoole mein na soya
Maa teri izzat ki qasam phir bhi na roya
Ab tujhe dekha to mere lab hue goya
Aaj bandhe haathon ko jhoola sa bana le
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Jism kahaan, sar hai kahaan, haaye muqaddar
Amma badan reh gaya Karbal ki zameen par
Amma tere saath chala aaya mera sar
Karta tujhe kaise laeenon ke hawaale
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Garm hawa, garm zameen, jalta hua teer
Amma zara socho mere qad se bara teer
Kaise kahoon halq pe jis waqt laga teer
Ho gaye behosh mujhe dekhne waale
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Kab se Sakina ne nahin mujhko kiya pyaar
Karbobala, Kufa kahaan, Shaam ka baazaar
Darti hai kya khoon se bhare dekh ke rukhsaar
Neze ke nazdeek zara usko bula le
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Dhoop mein tune na kabhi ghar se nikaala
Amma bare pyaar se tune mujhe paala
Aaj nahin koi mujhe dekhne waala
Tu hi mujhe dhoop ki shiddat se bacha le
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Dekh tera lakht-e-jigar yun to hai Asghar
Neza-sawaari mein hai Akbar ke baraabar
Nok-e-sinaan par hai sitaara sa mera sar
Meri shujaat pe gale mujhko laga le
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Baba ka sar, bhai ka sar nok-e-sinaan par
Aap ke sar pe nahin Amma koi chaadar
Kaise main bardaasht karoon Amma yeh manzar
Jalti hui khaak se munh apna chhupa le
Seene se laga le
Maa main naize pe hoon

Maa main naize pe hoon ×2
Maa mujhe apne seene se laga le
Maa mujhe apni godi mein chhupa le
Maa main naize pe hoon ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2000
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Captivity of Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Jab Mula Aeinge, Vol. 20

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.