Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mai Yeh Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do

Nadeem Sarwar

2002Urdu
2002UrduBibi SughraMuharram
Mai Yeh Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar in the 2002 Karbala Aam Kare (Volume 22) collection. It reflects on departure from madina. Read Roman lyrics, the Urdu/Shahmukhi text, and an English translation with the YouTube recording.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2002
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Lyrics

Mai Yeh Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mai Yeh Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do

Mai Yeh Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Mai Yeh Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ghar se jaane lage Shabbir to Sughra ne kaha
Le chalo mujh ko bhi, beemaar tumhein degi dua
Ho jaana khafa raah mein gar royegi Sughra
Yahaan neend kab aati hai, jo wahaan soyegi Sughra
Baba, Baba
Tanhaai saza hai mujhe, aisi na saza do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do ×2

Baba, Baba
Baba mujhe Fizza ki sawaari mein bitha do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Sab baithein sawaari mein, main paidal hi chalungi
Waada hai kisi ko koi takleef na doongi
Baba, Baba
Amma se main hargiz na kahungi ke dawa do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Palkon se main saaya Ali Asghar pe karungi
Amma ki sawaari se bahut door rahungi
Baba, Baba
Haan keh ke meri zeest ke kuchh roz barha do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Main paani pilaungi sawaari ko tumhaari
Behlaungi raste mein Sakina ko tumhaari
Baba, Baba
Jo kaam kaneezon ke hain sab mujh ko bata do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Sab nazrein churaate hain, koi dam nahin bharta
Sach hai koi murde se muhabbat nahin karta
Baba, Baba
Tauqeer meri yeh hai to marne ki dua do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Kya guzregi jab ghar se chale jaayenge Akbar
Kaise mujhe har baat mein yaad aayenge Akbar
Baba, Baba
Kab aayenge lene mujhe bhaiyya yeh bata do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Haan apni muhabbat ka main izhaar to kar loon
Thehro, Ali Asghar ko zara pyaar to kar loon
Baba, Baba
Naaqe se jhalak nanhe musaafir ki dikha do
Baba, Baba
Baba mujhe Fizza ki sawaari mein bitha do
Main yeh nahin kehti ke amaari mein bitha do

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2002
Personalities
Bibi Sughra, Imam Hussain, Ali Asghar, Ali Akbar, Bibi Sakina, Hazrat Fizza
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Departure from Madina, Bibi Sughra farewell, Separation from family
Original language
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.