Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Main Rahun Ya Na Rahun

Nadeem Sarwar

2009Urdu
2009Urdu
Main Rahun Ya Na Rahun is Nadeem Sarwar's 2009 noha presenting Imam Hussain's message before his martyrdom in Karbala: even if he is killed, Islam, the Quran and the message of truth will remain.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2009
Original
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Lyrics

Main Rahun Ya Na Rahun Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Main Rahun Ya Na Rahun

Main Rahun Ya Na Rahun

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Main Rahun Ya Na Rahun

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×2
Ma'bud taqabbal minna

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Aye fauj-e-ashqiya, mera Islam rahega
Quran rahega, mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Jab Zohr tak Hussain bahattar ko ro chuke
Akbar ko ro chuke, Ali Asghar ko ro chuke
Ek dopahar mein bawafa lashkar ko ro chuke
Phir fauj-e-bad-nasab se mukhatib hue Imam
Hujjat tamam karta hoon, sun lo mera paigham

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Farmate the Hussain ke main beqasoor hoon
Roshan hai tum pe, chashm-e-Payambar ka noor hoon
Faqon se main nidhal hoon, zakhmon se choor hoon
Zakhmon pe zakhm pyas ki shiddat mein khaunga
Lekin main Nana Jaan se wada nibhaunga

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Darya ko tumne chheen liya, maine kuch kaha?
Pani dikha dikha ke piya, maine kuch kaha?
Daagh-e-Akbar-e-jawan ka diya, maine kuch kaha?
Haq par hoon, mere haq mein sina bol rahi hai
Sun lo woh azan, meri zaban bol rahi hai

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Maqsad hai La Ilaha ki baqa aur kuch nahin
Wada ho zer-e-tegh wafa aur kuch nahin
Iske siwa labon pe dua aur kuch nahin
Razi ho mujhse mera Khuda, chahta hoon main
Main hoon Hussain, sab ka bhala chahta hoon main

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Maqsad nahin hai jang, hamara Khuda gawah
Khat bhej ke hai tumne bulaya, Khuda gawah
Be-jurm tumne mujhko sataya, Khuda gawah
Khanjar tale buland main takbeer karunga
Apne lahu se khak pe tehreer karunga

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Main aur karun Yazid ki bai'at? Nahin, nahin
Badlun ajal ke dar se shariat? Nahin, nahin
Jeene ke badle chhodun shahadat? Nahin, nahin
Tum kaun ho, naqab rukhon se hataunga
Main kaun hoon, ye nok-e-sina par bataunga

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Aakar dar-e-khayam pe Zainab ko di sada:
Aa aye meri ghareeb Behen, aa qareeb aa
Le aakhri salam Hussain-e-Ghareeb ka
Maqsad hai mera kya, ye sabaq tujhko yaad hai
Meri shareek-e-kar, mujhe aitimad hai

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Zainab tadap ke boli ke Bhaiya, samajh gayi
Bhaiya tere ishare ko Behna samajh gayi
Main kya, teri ghareeb Sakina samajh gayi
Khutbon se main hilaungi Qasr-e-Yazid ko
Marne na dungi ab main kisi bhi Shaheed ko

Hal min nasirin yansurna

Utha ghubar-e-zulm, karakti hain bijliyan
Zeen se gire Hussain, uthin surkh aandhiyan
Nagah sar Hussain ka aaya sar-e-sina
Quran suna ke Sayyid-e-Mazloom ne kaha:
Lo Nana Jaan, wada wafa maine kar diya

Main rahun ya na rahun ×2
Mera Islam rahega
Mera paigham rahega
Main rahun ya na rahun ×2

Ma'bud taqabbal minna

Aye Sarwar-o-Rehan, ye lamha ajeeb hai
Naize pe lab-kusha ye Hussain-e-Ghareeb hai
Zainab, tumhari Shaam-e-Ghareeban qareeb hai
Sab kuch tere hawale hai, ab tum sambhalna
Apna khayal rakhna, Sakina ko palna

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2009
Original language
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.