Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mazloom Ka Matam

Nadeem Sarwar

1999Urdu
1999UrduImam HussainMuharram
Mazloom Ka Matam is a 1999 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from Hussain Zinda Bad, Vol. 19. It explains the meaning of mourning for Imam Hussain, remembering the suffering of the oppressed, the loss of Bibi Fatima Zahra's household, the captivity of Bibi Zainab and Imam Zainul Abidin, and the sacrifice of Ali Akbar. The verses emphasise that Azadari is an expression of compassion and remembrance, not a spectacle.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1999
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Lyrics

Mazloom Ka Matam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mazloom Ka Matam

Mazloom Ka Matam

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Mazloom Ka Matam

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Logo yeh tamaasha nahin ×2
Logo yeh tamaasha nahin, is rone pe hansna nahin
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Logo yeh tamaasha nahin ×2
Logo yeh tamaasha nahin, is rone pe hansna nahin
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Kya milta hai maatam mein, kis tarah bataayein
Mazloom ko rote hain mazloom jahaan mein ×2
Patthar nahin seene mein ×2
Patthar nahin seene mein, dil hai to yeh maatam
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Ghar Fatima Zehra ka kis tarah se ujra
Jab hogi qayaamat to yun aayengi Zehra ×2
Ek haath mein do baazu ×2
Ek haath mein do baazu, ek haath mein parcham
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Jab pyaare Muhammad se main pyaar karunga
Phir uske nawaase ka maatam bhi karunga ×2
Jis ghar mein Muhammad hai ×2
Jis ghar mein Muhammad hai, us ghar ka yeh maatam
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Logo Nabi-zaadi ka baazaaron mein aana
Aur baandh ke rassi mein darbaaron mein laana ×2
Is baat pe rote hain ×2
Is baat pe rote hain, is dard ka maatam
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Zanjeeron mein jakra hai Shabbir ka beta
Maa behnein khule sar thin, khoon rota tha Maula ×2
Sajjad se poochho to ×2
Sajjad se poochho to kyun hai yeh kamar kham
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Khat Fatima Sughra ka kis waqt mila hai
Jab bhai sina khaaye reti pe para hai ×2
Khat kaun parhe tera ×2
Khat kaun parhe tera, tanhaayi ka aalam
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Logo yeh tamaasha nahin ×2
Logo yeh tamaasha nahin, is rone pe hansna nahin
Mazloom ka maatam hai, mazloom ka maatam ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1999
Personalities
Imam Hussain, Prophet Muhammad, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab, Imam Zainul Abidin, Hazrat Abbas, Bibi Sughra, Ali Akbar
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Mourning for the oppressed, Meaning of Azadari, Captivity of Ahlulbayt, Suffering of the family of Prophet Muhammad
Original language
Urdu
Album
Hussain Zinda Bad, Vol. 19

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.