Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mera Wada

Nadeem Sarwar

2007Urdu
2007Urdu
Mera Wada is Nadeem Sarwar's 2007 noha, also released as Main Nook-e-Sina Par Hoon. The verses portray Imam Hussain addressing Prophet Muhammad from the spear and declaring that the promise of Karbala has been fulfilled.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2007
Original
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Lyrics

Mera Wada Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mera Wada

Mera Wada

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Mera Wada

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jab khatima ba-khair hua Fauj-e-Shah ka
Kausar pe qafila gaya pyasi sipah ka
Ghar lut gaya Janab-e-Risalat-Panah ka
Khak ud rahi thi, haal tha ye bargah ka

Haye, maqtal mein aayi Fatima Zahra barehna-sar
Chillayi: zer-e-tegh hai Baba mera jigar
Unnis sau hain zakhm tan-e-chak-chak par
Zainab nikal, Hussain tadapta hai khak par

Haye, pahunchi Behan jo Bhai ke maqtal mein nauhagar
Dekha sar-e-Hussain hai naize ki nok par
Sadqe gayi, luta gaye ghar wada-gah mein
Haye, jumbish labon ko hai abhi zikr-e-Ilah mein

Mera wada hua pura Nana
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Nana dekho nawasa kahan aa gaya
Maine Karb-o-Bala ko Mualla kiya
Khoon mera aaj Khak-e-Shifa ban gaya
Maine bachpan ka wada wafa kar diya

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Mera ghar, mere bachche, meri zindagi
Aap ke deen pe sab maine qurban ki
Mere mathe pe bosa do ab aakhri
Bar-sar-e-nok-e-naiza sawari chali

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Deen-o-Quran bache, tera Kaaba bacha
Ta-qayamat rahegi azan ki sada
Madrasa ban gayi aaj se Karbala
Haye Nana, magar mera ghar na raha

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Chakkiyan peesne wali Maa ki qasam
Meri aaghosh mein toda Akbar ne dam
Kaise lash-e-jawan laya su-e-haram
Apne wade pe sehta raha gham pe gham

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Kitne lashe uthaye hain ek roz mein
Kitne aansu bahaye hain ek roz mein
Saikron teer khaye hain ek roz mein
Sare wade nibhaye hain ek roz mein

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Bhai battis barson se jo sath tha
Maine wada nibhane mein woh kho diya
Kha gayi uske shanon ko ye Alqama
Woh gaya aur dard-e-kamar de gaya

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Mere Nana, ye dulha, ye kamsin jawan
Aise raunda gaya dasht mein, al-aman
Apne bete ko pehchan payi na Maa
Uski dulhan ne khud tod di chudiyan

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Haan woh Asghar jo Sughra ki thi zindagi
Jiski khatir woh bemar bachchi meri
Chhote chhote se kurte jo seeti rahi
Uska khoon apne chehre pe mal ke abhi

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Mere Nana, Sakina ka gham dekhiye
Umr itni si, itne sitam dekhiye
Jalti reti pe uske qadam dekhiye
Kitne majboor hain aaj hum dekhiye

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Shaam Rehan-o-Sarwar jo dhalne lagi
Sar se Shabbir ke ye sada aati thi:
Aye Behan, ab yahan se qayadat teri
Mere wade ki khatir zaroori hui

Mera wada hua pura
Main nok-e-sina par hoon
Mera wada hua pura Nana

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2007
Original language
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.