Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mujh Pe Kyun Band Karte Ho Paani

Nadeem Sarwar

1992Urdu
1992UrduImam HussainMuharram
Mujh Pe Kyun Band Karte Ho Paani is an Urdu devotional noha recited by Nadeem Sarwar on the 1992 Volume 12 album. Its verses remember water deprivation in karbala. Read the Roman-script lyrics, original script, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1992
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Lyrics

Mujh Pe Kyun Band Karte Ho Paani Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mujh Pe Kyun Band Karte Ho Paani

Mujh Pe Kyun Band Karte Ho Paani

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Mujh Pe Kyun Band Karte Ho Paani

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain ×6
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×4

Mujh pe kyun band karte ho paani
Kalma-goyo Muhammad ke Shaamiyo
Kya main mehmaan aaya nahin hoon
Kya main Zahra ka jaaya nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×2

Mera Baba hai Mushkil-kusha
Meri maadar bhi hai Sayyida ×2
Mera beta hai Zainul Iba
Mere Nana ka kalma parha ×2
Jis ke saaye ko tum dhoondte ho
Kya main us ka hi saaya nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×2

Tum ne maktoob likh ke kaha
Aaiye jald ibn-e-Ali ×2
Deen ki roshni kam hui
Sham-e-Islam bujhne lagi ×2
Tum ne chaaha tha, main aa gaya hoon
Khud Madine se aaya nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×2

Dasht-e-taras mein meri kya nahin
Ilm, taqwa, shujaat, yaqeen ×2
Mere pairon ke neeche zameen
Jis pe rakhte farishte jabeen ×2
Main hi sardar-e-ahl-e-jinaan hoon
Koi toota sitaara nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×2

Meri gardan pe khanjar chale
Aag lagti hai ghar mein, lage ×2
Bint-e-Zahra ki chaadar chhine
Haath doonga na apna tujhe ×2
Haath mera yeh dast-e-Khuda hai
Main to munkir Khuda ka nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×2

Saath Zahra ki hain betiyaan
Mohtaram in ka koi kahaan ×2
Pyaas ki dhoop ki sakhtiyaan
Sab ke chehre hue hain dhuaan ×2
Betiyaan Fatima ki hain pyaasi
Sirf ek main hi pyaasa nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×2

Hukm Abbas ko doon agar
Nehr le aaye woh chheen kar ×2
Karbala hogi zer-o-zabar
Laashein tairengi har mauj par ×2
Main nahin chaahta jang karna
Fauj larne ko laaya nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×3

Goonji hal-min ki aisi sada
Sheh ko Rehan kehte suna ×2
Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali
Waqt imdaad ka aa gaya ×2
Mere bachche bhi lagte hain pyaase
Phir bhi kya muskuraaya nahin hoon
Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×3

Mujh pe kyun band karte ho paani, kya Muhammad ka pyaara nahin hoon ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1992
Personalities
Imam Hussain, Prophet Muhammad, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Abbas, Imam Ali, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Water deprivation in Karbala, Address to the opposing army
Original language
Urdu
Album
Volume 12 (1992)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.