Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Mujhe Abbas Kehte Hain

Nadeem Sarwar

1997Urdu
1997Urdu
Mujhe Abbas Kehte Hain is a 1997 Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi. This powerful kalaam praises Hazrat Abbas Alamdar (AS) as the loyal commander of Imam Hussain’s army, the standard-bearer of Karbala, and the guardian of the children’s hope at the river of Furat. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation of Mujhe Abbas Kehte Hain on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1997
Original
Urdu

Lyrics

Mujhe Abbas Kehte Hain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Mujhe Abbas Kehte Hain

Mujhe Abbas Kehte Hain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Mujhe Abbas Kehte Hain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas Meer-e-Lashkar ×4

Abbas kehte hain, mujhe Abbas kehte hain
Mujhe Abbas

Main Qamar-e-Bani Hashim hoon, sardar hoon main lashkar ka ×2
Shabbir mera Aaqa hai
Main beta hoon Haider ka ×2
Maslak mein wafadari hai, mansab mein Alamdaari hai ×2
Abbas kehte hain...

Zehra ne kaha hai beta, hai saare Arab mein charcha
Shabbir ke dil ki taaqat
Hoon chand Bani Hashim ka ×2
Main Karb-o-Bala ka Haider, Jibreel bacha le shehpar ×2
Abbas kehte hain...

Woh jah-o-hasham rakhta hoon
Shaanon pe Alam rakhta hoon
Lo rok sako to roko
Darya mein qadam rakhta hoon ×2
Main hashr bapa kar doonga, sar tan se juda kar doonga ×2
Abbas kehte hain...

Mujhko bhi Imamat milti
Tauqeer meri badh jaati
Pee leta jo Sheer-e-Zehra
Kaunain mein thi Sardaari ×2
Hoon apne padar ka saani, patthar se nichorun paani ×2
Abbas kehte hain...

Talwar hai mere baazu
Hai mujh mein wafa ki khushbu
Main dekh nahi sakta hoon
Zainab ki nazar mein aansu ×2
Gar ghaiz mein aa kar dekhun, paani mein aag laga doon ×2
Abbas kehte hain...

Parcham yeh mere Baba ka
Ta-Hashr rahega ooncha
Khaibar mein mila Baba ko
Aur aaj hai maine paaya ×2
Parcham na yeh jhuk paaega, har daur mein lehraaega ×2
Abbas kehte hain...

Bachchon ko tasalli de kar
Main aaya hoon darya par
Bachchon ki aas na toote
Bas ek dua hai lab par ×2
Paani jo na pohchaunga, khaimon mein nahi jaaunga ×2
Abbas kehte hain...

Be-Izn-e-Wigha aaya hoon
Talwar nahi laaya hoon
Thokar mein hai mere paani
Seh-roz ka main pyaasa hoon ×2
Behta hai lahoo beh jaaye, bas Naam-e-Wafa reh jaaye ×2
Abbas kehte hain...

Jo teer bhi hai tarkash mein
Pewast karun nas-nas mein
Par Mashk pe waar na karna
Phir baat na hogi bas mein ×2
Baazu bhi kata sakta hoon, main khoon mein naha sakta hoon ×2
Abbas kehte hain...

Abbas-e-Jari ka roza
Hai Ahl-e-Aza ka Kaaba
Ek roz Rehan-o-Sarwar
Hum ne bhi yeh manzar dekha ×2
Kehta hai koi darya par, sab jaayen pyaas bujha kar ×2
Abbas kehte hain...

Khaimon mein na le jaana
Aaqa mere laashe ko
Sharminda na karwaana
Seh-roz ke pyaase ko
Abbas kehte hain...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1997
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.