Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Na Rakh Ab Chadar Baazuon Pe

Nadeem Sarwar

1993Urdu
1993UrduSayyida ZainabMuharram
Na Rakh Ab Chadar Baazuon Pe is an Urdu noha recited by Nadeem Sarwar in the 1993 (Volume 13) collection, with poetry credited to Rehan Azmi. Read its Roman-script lyrics, original script and line-aligned English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1993
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Volume 13 (1993)

Lyrics

Na Rakh Ab Chadar Baazuon Pe Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Na Rakh Ab Chadar Baazuon Pe

Na Rakh Ab Chadar Baazuon Pe

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Na Rakh Ab Chadar Baazuon Pe

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Na rakh ab chaadar baazuon pe
Tu neele daagh chhupa nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Tere nana ka yeh rauza hai
Koi Kufa Shaam ki raah nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Jo chaadar ujli thi teri, rang us ka kaise laal hua ×2
Ab sar pe tere aye shehzadi ×2
Woh kyun maujood rida nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Atharah jo tere bhai the, kis baat pe tujh se rooth gaye ×2
Do shehzade kyun saath nahin ×2
Kyun saath Abbas tera nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Yeh kaun jawaan hai saath tere, hain kapre jis ke khoon se bhare ×2
In zakhmon se yeh choor hua ×2
Aankhon se bhi khoon rukta nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Kis haal mein Karbal se aayi, aye Zainab apne shehr mein tu ×2
Ab is se siwa afsos hai kya ×2
Pehchaan saki Sughra nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Woh bachchi jis ko seene pe Shabbir sulaya karte the ×2
Meri aankhein dhoondh ke haar gayin ×2
Kahin milta us ka pata nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Ek ghuncha-dahan masoom bhi tha, naam us ka Asghar rakha tha ×2
Kyun khaali god Rabab ki hai ×2
Asbaab mein kyun jhoola nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Rehan karo har dam matam, tum noha parho har dam Sarwar ×2
Yeh ek ibaadat hai aisi ×2
Jo hoti kabhi bhi qaza nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Tere nana ka yeh rauza hai
Koi Kufa Shaam ki raah nahin
Zahra ki jaan, sharma nahin

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1993
Personalities
Sayyida Zainab, Sayyida Fatima Zahra, Hazrat Abbas, Bibi Sughra, Bibi Sakina, Imam Hussain, Ali Asghar, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Return from captivity, Veiling, Grief of Zainab
Original language
Urdu
Album
Volume 13 (1993)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.