Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Parcham Abbas Ka

Nadeem Sarwar

1995Urdu
1995UrduImam AliMuharram
Parcham Abbas Ka is a 1995 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from the album Labayk Ya Imam. It honours the alam of Hazrat Abbas as a symbol of loyalty, protection and the legacy of Karbala, recalling Bibi Zainab, Bibi Sakina and the awaited Imam Mahdi. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1995
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Lyrics

Parcham Abbas Ka Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Parcham Abbas Ka

Parcham Abbas Ka

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Parcham Abbas Ka

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Parcham-e-Abbas, parcham-e-Abbas

Haan yehi parcham Hussaini fauj ka ban kar nishaan
Jis ghari pahuncha tha fauj-e-ashqiya ke darmiyaan
Har taraf se aa rahi thi bas sada-e-al-amaan
Naara-e-Abbas tha aur thi farishton ki zabaan
Parcham Abbas ka ×4

Is alam ke saath hai chhota sa mashkeeza bandha
Baazu-e-Abbas par jaise ho taweez-e-wafa
Na alam is se juda hai, na alam se yeh juda
Is alam pe saaya-afgan hai dua-e-Sayyeda
Parcham Abbas ka ×4

Tha yehi parcham Ali ke haath mein har jang mein
Karbala pahuncha dua-e-Sayyeda ke rang mein
Haan isi parcham ko gaara tha Ali ne sang mein
Daurta hai khoon isko dekh kar rang rang mein
Parcham Abbas ka ×4

Haan isi parcham se aaya Karbala mein inqilaab
Le ke isko jab gaya darya pe Ibn-e-Bu-Turab
Choom leen maujon ne barh kar us pe Ghazi ki rakaab
Iske panje ki chamak se roshni le aaftaab
Parcham Abbas ka ×4

Jab talak ooncha raha Karbal mein Ghazi ka alam
Aa sake na khaima-e-Sarwar mein aada ke qadam
Yeh alam thanda hua, rone lage Shah-e-Umam
Ro ke kehte thay yehi tha mere lashkar ka bharam
Parcham Abbas ka ×4

Yeh alam dhaaras tha Zainab aur Sakina ke liye
Dhoop mein ek chhaaon tha yeh Shah-e-Wala ke liye
Iska girna maut se barh kar tha Aaqa ke liye
Maut ka paighaam yeh parcham tha aada ke liye
Parcham Abbas ka ×4

Aaj har ghar par alam hai mere Ghazi ka saja
Hazrat-e-Zainab ki poori ho gayi aakhir dua
Marhaba Abbas-e-Ghazi, marhaba sad marhaba
Aasmaan to jhuk gaya, tera alam ooncha raha
Parcham Abbas ka ×4

Is alam ki shaan to us roz dekhega jahaan
Aayega jis roz is parcham ka waaris baarahwaan
Kufr ki basti pe tootengi hazaaron bijliyaan
Momino ke sar pe hoga is alam ka saayebaan
Parcham Abbas ka ×4

Yeh alam ab tak Hussaini fauj ki hai yaadgaar
Hashr tak qaayam rahega aitbaar-o-ikhtiyaar
Dekhenge Rehan is parcham ki sab us din bahaar
Isko le kar aayenge jab Mahdi-e-Aali-Waqaar
Parcham Abbas ka

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1995
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Imam Mahdi
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Labayk Ya Imam

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.