Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Pyaray Nabi Ki Pyari Nawasi

Ali Shanawar

2007Urdu
2007Urdu
Pyaray Nabi Ki Pyari Nawasi is a 2007 noha recited by Ali Shanawar and Ali Jee, mourning Bibi Zainab as she is taken toward Shaam after losing her brothers, sons, nephews and family in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2007
Original
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Lyrics

Pyaray Nabi Ki Pyari Nawasi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Pyaray Nabi Ki Pyari Nawasi

Pyaray Nabi Ki Pyari Nawasi

Ali Shanawar · Ali Jee

YouTube loads when you open Listen.

Pyaray Nabi Ki Pyari Nawasi

Ali Shanawar · Ali Jee

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×3

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai
Sabr ki malika, Zahra ki pyari
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Dekh rahi hai koi to aaye
Shana pakad kar kaash bithaye ×2
Na hai sawari, na hai amari
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Bhai, bhatije, bhanje, bete
Sath watan se aayi thi lekar ×2
Haye muqaddar, aaj akeli
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Beton ko sadqa Bhai pe karke
Jisne kiye the shukr ke sajde ×2
Chhod ke tanha lash ko uski
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Jiski kaneezein niklein na bahar
Balwe mein laye usko sitamgar ×2
Haye ye ghurbat Bint-e-Ali ki
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Kitne hi qaidi jisne chhudaye
Aaj woh Bibi sar ko jhukaye ×2
Ek rida ki ban ke sawali
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Socho woh manzar Sarwar-o-Rehan
Bhai ho jiska Waris-e-Quran ×2
Kaise woh Bibi ashk bahati
Shaam ko qaidi ban ke chali hai

Pyaray Nabi ki pyari nawasi
Shaam ko qaidi ban ke chali hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2007
Original language
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.