Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Qaidi Hoon Main Baba Jaan

Ali Shanawar

2012Urdu
2012Urdu
Qaidi Hoon Main Baba Jaan is Ali Shanawar and Ali Jee's 2012 noha voiced through Bibi Sakina in captivity. She calls to Imam Hussain, contrasting her former life as a princess with imprisonment, separation, the journey through the streets and the wounds still visible upon her face.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Original
Urdu
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Lyrics

Qaidi Hoon Main Baba Jaan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Qaidi Hoon Main Baba Jaan

Qaidi Hoon Main Baba Jaan

Ali Shanawar · Ali Jee

YouTube loads when you open Listen.

Qaidi Hoon Main Baba Jaan

Ali Shanawar · Ali Jee

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Qaidi hoon main Baba Jaan
Ab Shahzadi kahan

Qaidi hoon main Baba Jaan
Ab Shahzadi kahan

Na apna woh ghar hai
Na apna Madina
Woh bahein Chacha ki
Tumhara woh seena
Bolo Khudara
Tum ho kahan
Main kahan

Qaidi hoon main Baba Jaan

Jis din se tumse
Juda ho gayi hoon
Dekho to Baba
Main kya ho gayi hoon
Ujda makan hai
Rehti hoon ab main jahan

Qaidi hoon main Baba Jaan

Kehti na thi:
Dekho na jao Baba
Taras khao mujh par
Taras khao Baba
Tum kya gaye ho
Mujh par gira aasman

Qaidi hoon main Baba Jaan

Jaise hi naize pe
Tum aaye Baba
Maine tamache
Bohat khaye Baba
Rukhsar par hain
Abhi tak sitam ke nishan

Qaidi hoon main Baba Jaan

Manga kaneezi mein
Baba kisi ne
Phenka meri samt
Sadqa kisi ne
Paidal chali hoon
Kaanton ke main darmiyan

Qaidi hoon main Baba Jaan

Milne ko humse
Chale aao Baba
Ek baar chehra
Dikha jao Baba
Aye pyare Baba
Phir hum kahan
Tum kahan

Qaidi hoon main Baba Jaan

Chalo Shaam chalte hain
Rehan-o-Sarwar
Wahan dekhna
Kya hai Chehlum ka manzar
Bibi Sakina
Karti hain ab tak fughan

Qaidi hoon main Baba Jaan

Ab Shahzadi kahan

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Original language
Urdu
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.