Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ro Kar Sakina Kehti Thi

Nadeem Sarwar

1984Urdu
1984UrduImam HussainMuharram
Ro Kar Sakina Kehti Thi is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar, portraying Bibi Sakina's grief for her uncle Hazrat Abbas after the tragedy of Karbala. The verses describe the captivity of the Ahlulbayt, their thirst, the martyrdom of Ali Asghar and the journey towards Kufa and Shaam. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1984
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Ro Kar Sakina Kehti Thi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ro Kar Sakina Kehti Thi

Ro Kar Sakina Kehti Thi

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ro Kar Sakina Kehti Thi

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ro kar jo bain karti thi beti Hussain ki
Ranon mein goonjti thi sada shor-o-shain ki

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye
Ammu hamaari chaadarein bhi chheen li gayin
Qaidi bana ke le chale humko ahl-e-keen
Ammu ab aapko kahaan paaungi main bhala
Kufe ki simt jaata hai ran se qaafila

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Baba ki laash par bhi na rone diya mujhe
Durre laga laga ke kiya hai juda mujhe
Baba ke sar ko dekh ke roti hoon ab agar
Ammu tamaache maarta hai Shimr-e-bad-gohar

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Ammu gale se aa ke laga lo mujhe zara
Ammu ab ho rahi hoon hamesha ko main juda
Ammu karungi ab na main shikaayat pyaas ki
Taqseer maaf kar do yeh mujh dil-udaas ki

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Ammu hamein na paani ka qatra kahin mila
Ammu zabaan sookh gayi, khushk hai gala
Ammu tadap ke reh gaye hum ek jaam ko
Aaya taras na hum par zara ahl-e-Shaam ko

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Ammu hamaari pyaas pe qurbaan ho gaye
Aayi pasand taraayi to darya pe so gaye
Ammu hai dil tumhaari bhateeji ka beqaraar
Le jaa rahe hain Shaam ki jaanib jafaa-shi'aar

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Ammu hamaara nanha sa Asghar bhi mar gaya
Teer-e-sitam se khoon mein naha kar guzar gaya
Amma ki god, jhoola bhi sunsaan ho gaya
Amma na aisi god mein pyaasa woh so gaya

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Ammu ek hook uthti hai seene mein baar baar
Tumse bichhar rahi yeh hamesha ko dil-figaar
Aayi thi jab to god mein le kar utaara tha
Ab jaa rahi hoon, baat bhi karte nahin zara

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Hoti hai khatm gham ki Musayyab yeh daastaan
Kufe ki simt jo hi hua qaafila rawaan
Bachchi ne ek aah ki, tharra gayi zameen
Naaqe ki pusht par hui behosh naazneen

Ro kar Sakina kehti thi Ammu kidhar gaye
Lab-tashna mujhko chhor kar darya pe mar gaye

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1984
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.