Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Saarbaan Saarbaan

Nadeem Sarwar

2008Urdu
2008Urdu
Saarbaan Saarbaan is Nadeem Sarwar's 2008 noha voiced through Imam Zainul Abidin as the devastated caravan returns to Madina. The verses remember the chains, the journey through Shaam, the loss of Abbas and the burden of leading the bereaved household home.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2008
Original
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Lyrics

Saarbaan Saarbaan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Saarbaan Saarbaan

Saarbaan Saarbaan

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Saarbaan Saarbaan

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Saarbaan Saarbaan

Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×3

Wapas Madine aa gaya
Lo karwan ujra hua
Ujri thin sari Bibiyan
Sajjad ka noha ye tha:

Royengi tauq-o-bediyan ×3
Woh Shaam aur main, al-aman

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Logo, Madina lut gaya
Koi nahin mere siwa
Daghon se hai seena bhara ×2
Tanha karun kya kya bayan?

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Hajat-talab woh mehrban
Abbas woh Mir-e-Karwan
Mara gaya kya na-gahan ×2
Aakhir liye unka nishan

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Kitna kathan tha woh safar
Nezon pe the pyaron ke sar
Uthti na thi meri nazar ×2
Be-parda behnein aur Maa

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Gham tha qayamat se bada
Charon taraf the ashqiya
Namoos meri be-rida ×2
Rota tha sun sun kar aza

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Kya raunaq-e-bazar thi
Patthar ki bhi bochhar thi
Aur woh hansi kuffar ki ×2
Khamosh thi meri zaban

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Us Shaam ke bazar ne
Woh gham diye Darbar ne
Jab main laga lalkarne ×2
Dene lage zalim azan

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Hajat-talab woh mehrban
Abbas woh Mir-e-Karwan
Mara gaya kya na-gahan ×2
Aakhir liye unka nishan

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Logo, Madina lut gaya
Koi nahin mere siwa
Daghon se hai seena bhara ×2
Tanha karun kya kya bayan?

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Rehan-o-Sarwar umr bhar
Aankhein rahengi noha-gar
Jis waqt Farsh-e-Dard par ×2
Nohe mein ho gaya ye bayan

Aisa bana main Saarbaan ×2
Maula ghamzada, natawan Saarbaan ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2008
Original language
Urdu
Album
Buss Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.