Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Salam Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2007Urdu
2007Urdu
Salam Ya Hussain is Nadeem Sarwar's 2007 title noha offering repeated salutations to Imam Hussain while reflecting on his sacrifice, courage, final battle and enduring remembrance.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2007
Original
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Lyrics

Salam Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Salam Ya Hussain

Salam Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Salam Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Salam, Salam, Salam Ya Hussain ×6

Ya Khuda, Ya Khuda
Surkh hai aasman, cheekhti hai fiza
Salam, Salam Ya Hussain
Ghaib se aa rahi hai musalsal sada
Lo Aftab-e-Shahadat tulu ho gaya

Salam Ya Hussain ×3
Hussain Ya Hussain ×3
Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Bar zaban-o-dilam
Ya Hussain ×2
Marhaba mohtaram
Ya Hussain, Ya Hussain

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Azeem tha, azeem hai, azeem-tar hai Ya Hussain
Khuda-e-Pak ki nazar se teri nazar hai Ya Hussain
Ye dil bhi tera dil nahin, Khuda ka ghar hai Ya Hussain
Wahan wahan azan hai jidhar jidhar hai Ya Hussain
Sina ki nok par azan tera jigar hai Ya Hussain

Sina ki nok par buland ×3
Zindagi ko kar diya
Azeem kaam kar diya

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Hussain woh jo maqtalon ko maktabon mein dhal de
Hussain woh jo mushkilon se deen ko nikal le
Khuda agar talab kare, Hussain apne laal de
Hussain jo talab kare, woh Rabb-e-Zuljalal de

Ya Hussain, Ya Hussain

Hussain woh Sakhi hai jo gada ko be-sawal de
Ya Hussain, Ya Hussain

Kamal ye hai khud Khuda ×3
Kahe: kamal kar diya
Azeem kaam kar diya

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Bulandiyon se poochh lo, sina sina Hussain hai
Qadam qadam Hussain hai, nishan nishan Hussain hai
Dilon mein Ahl-e-Dard ke rawan-dawan Hussain hai
Zamana poochhta hai ye kahan kahan Hussain hai

Ya Hussain, Ya Hussain

Jahan jahan Rasool hai, wahan wahan Hussain hai
Ya Hussain

Khuda ne is Shaheed ko ×3
Ajeeb ye samar diya
Azeem ye kaam kar diya

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Hussain Ya Hussain ×3

Ajeeb hai ye marhala, ajeeb hai ye hausla
Bichhad gaya hai qafile se ye Amir-e-Qafila
Ghira hai Fauj-e-Shaam mein akela Ibn-e-Sayyeda
Hai door khaimagaah se ye Fatima ka ladla

Ya Hussain, Ya Hussain

Sukoon apna de chuka
Qarar apna de chuka
Ya Hussain

Hussain ne Khudai ko ×3
Bhi be-qarar kar diya
Azeem kaam kar diya

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Hussain Ya Hussain ×3

Idhar guloo-e-khushk par Hussain ke chhuri chali
Udhar qareeb-e-Alqama tadap ke reh gaya Jari
Behen ko hosh na raha, Sakina khak par giri

Hussain Ya Hussain ×3

Sadayein goonjne lagin
Hussain Ya Hussain ki

Ya Hussain, Ya Hussain

Ye kisne apna sar diya?
Khudai cheekhne lagi
Ya Hussain

Sina se sar ke khoon ne ×5
Salam-e-akhri kiya
Azeem kaam kar diya

Salam Ya Hussain, Salam Ya Hussain ×2

Hussain Ya Hussain ×2

Hussain Badshah par salam har zaman ka
Salam ho, salam ho zameen aur aasman ka
Salam Ibn-e-Sayyeda pe Sarwar-o-Rehan ka
Har ek rang-o-nasl ka, salam har zaban ka

Ya Hussain, Ya Hussain

Kalam Shah-e-Karbala, Khuda-e-Mehrban ka
Ya Hussain

Khuda ka zikr do jahan ×2
Mein tune aam kar diya
Azeem kaam kar diya

Hussain Ya Hussain ×3

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2007
Original language
Urdu
Album
Salaam Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.