Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shabbir Agar Teri

Nadeem Sarwar

1997Urdu
1997Urdu
Shabbir Agar Teri Azadari Na Hoti is a 1997 Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from the album Karbala Le Chal Mujhe / Vol. 17. This kalaam reflects on the spiritual, moral, and revolutionary meaning of Azadari-e-Imam Hussain (AS), showing how the mourning of Shabbir gives voice to the oppressed, preserves the message of the Quran, and keeps alive the memory of Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1997
Original
Urdu

Lyrics

Shabbir Agar Teri Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shabbir Agar Teri

Shabbir Agar Teri

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Shabbir Agar Teri

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Na dil rota, na gham hota
Na aisa kahin matam hota ×2
Shabbir agar teri Azadari na hoti ×2

Mazloom ki duniya mein ×2
Tarafdari na hoti
Shabbir agar teri...

Shabbir ka maqsad jo samajh leta zamana ×2
Quran ko samajhne mein ×2
Ye dushwari na hoti
Shabbir agar teri...

Kya faida aankhon ka reh jaata zara socho ×2
In aankhon mein Maula ki ×2
Jo gham-khwari na hoti
Shabbir agar teri...

Shabbir ke roze pe kuch roz jo rehte ×2
Tumko kabhi Jannat ki ×2
Talabgari na hoti
Shabbir agar teri...

Do roz bhi Jannat mein rehna hamein mushkil tha ×2
Zehra tere bachchon ki ×2
Jo sardari na hoti
Shabbir agar teri...

Ghazi tere jaisa jo Alamdar na hota ×2
Duniya mein alam hote ×2
Alamdari na hoti
Shabbir agar teri...

Sharminda Sakina se agar hota na pani ×2
Yeh rasm sabeelon ki ×2
Kabhi jaari na hoti
Shabbir agar teri...

Namoos-e-Muhammad ko jo pehchanti duniya ×2
Zainab ke khule sar pe ×2
Ye sangbari na hoti
Shabbir agar teri...

Jannat mein qadam rakhte nahi Sarwar-o-Rehan ×2
Jannat mein jo Maula ki ×2
Azadari na hoti
Shabbir agar teri...

Mazloom ki duniya mein ×2
Tarafdari na hoti
Shabbir agar teri...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1997
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.