Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Shabbir Nahi Bhoolay

Nadeem Sarwar

1998Urdu
1998UrduImam HussainMuharram
Shabbir Nahi Bhoolay is a 1998 Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from the album Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18. It portrays Bibi Fatima Zahra seeking the tears of mourners to heal Imam Hussain's wounds, while remembering two sorrows that never fade: the loss of Bibi Zainab's veil and the wounded chest of Ali Akbar. The verses recall the martyrdom of Hazrat Abbas, the sacrifices of Karbala and the captivity of the Ahlulbayt.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1998
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Lyrics

Shabbir Nahi Bhoolay Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Shabbir Nahi Bhoolay

Shabbir Nahi Bhoolay

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Shabbir Nahi Bhoolay

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Har Majlis-e-Shabbir mein
Aati hai Maa Shabbir ki
Kehti hai kya aye momino
Tumse yeh Maa roti hui
Zakhmi hai mera laadla
Marham mujhe de do koi
Marham to hai ashk-e-aza
Roomaal mein le jaaungi

In aansuon ne bhar diye
Sab zakhm to dilgeer ke
Do ghaao aise hain magar
Bharte nahin Shabbir ke

Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Matam karo, ghar lut gaya Shabbir ka
Maa aa gayi Shabbir ki
Matam karo Shabbir ka
Khanjar tale, neze pe bhi
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Teeron pe tha laasha tera
Roti rahi Karbobala
Khaime ka jab parda utha
Boli behan, bhaiya mera
Laasha tarap kar reh gaya
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Sughra udhar roti rahi
Maula idhar rote rahe
Wahaan muntazir beemaar thi
Yahaan qatl sab hote rahe
Sehra mein ghar lut-ta raha
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Lipti sum-e-aspan se thi
Woh laadli beti teri
Maaloom tha Maula tujhe
Ab na milegi yeh kabhi
Phir bhi soo-e-maqtal gaye
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Maara gaya Ghazi tera
Phir bhi kaha shukr-e-Khuda
Qasim gaya, Asghar gaya
Phir bhi kaha shukr-e-Khuda
Har laash par aate rahe
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Darbaar mein, bazaar mein
Zindaan mein, har aan mein
Kaise sitam sehti rahi
Beti teri, behna teri
Dekha kiye neze se sab
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Neze pe bhi sar hai tera
Phir bhi teri kya shaan hai
Yeh sar hai aye Maula tera
Ya bolta Quran hai
Tan se juda sar ho gaya
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Rehan aur Sarwar karo
Majlis bapa Shabbir ki
Akbar ka gham, Zainab ka gham
Meraaj hai tehreer ki
Maula aza ke farsh par
Karte rahe shukr-e-Khuda
Na bhoole, na bhoole
Shabbir nahin bhoole
Ek chaadar Zainab ki
Ek seena Akbar ka

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1998
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original language
Urdu
Album
Qafla Ek Le Jaa Zainab, Vol. 18

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.