Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Toot Gayi Aas Meri

Nadeem Sarwar

1989Urdu
1989UrduImam HussainMuharram
Toot Gayi Aas Meri is an Urdu Noha attributed to Nadeem Sarwar, mourning the martyrdom of Hazrat Abbas at Karbala. The verses portray the anguish of Bibi Zainab, Bibi Farwa, Bibi Rabab and Bibi Laila as they remember Abbas's protection, loyalty and sacrifice. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Toot Gayi Aas Meri Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Toot Gayi Aas Meri

Toot Gayi Aas Meri

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Toot Gayi Aas Meri

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Toot gayi aas meri, toot gayi aas

Der hui mere chacha jaan ko sidhaare
Akbar-o-Baba hain gaye nehr kinaare
Amma mera qalb jala pyaas ke maare
Doobte jaate hain mere dil ke sahaare
Toot gayi aas

Saani-e-Zehra yeh buka karti hai ro kar
Tum se to dhaaras thi mujhe mere biraadar
Baba ka farmaan hua ab to muqaddar
Chheen ke le jaayenge aada meri chaadar
Toot gayi aas

Peet ke sar kehti hai Farwa mere Abbas
Qatl hua Ibn-e-Hasan, main hui be-aas
Aaye na tum dene ko pursa bhi mere paas
Hota hai ab teri haya-daari ka ehsaas
Toot gayi aas

Nazron mein phirta hai abhi tak woh manzar
Ashoor ki shab teri wafa naqsh hai dil par
Kya kar ke tujhe roye, sar-e-naala yeh khwahar
Ab tu hi bata de mujhe aye mere biraadar
Toot gayi aas

Haaye mere nanhe se Asghar ke chacha jaan
Bano-e-Shabbir bahut tum pe thi naazaan
Pyaasa hi mar jaayega ab Asghar-e-naadaan
Ghar ke ujad jaane ka bhi ho gaya saamaan
Toot gayi aas

Hai chaak garebaan, fughaan karti hai Laila
Akbar mera ab ban na sakega kabhi dulha
Tukde hue sab hasrat-o-armaan ka kaleja
Kya dekhte hi dekhte yeh ho gaya bhaiya
Toot gayi aas

Tareekh ne maqtal pe Anees is tarah likha
Woh seena-zani aur qayaamat ka tha girya
Sar peette thay zer-e-alam dilbar-e-Zehra
Sookhe hue honton pe tha pur-dard yeh Noha
Toot gayi aas

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1989
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.