Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tu Hai Bara Rehman

Nadeem Sarwar

1994Urdu
1994UrduImam HussainMuharram
Tu Hai Bara Rehman is the title track of Nadeem Sarwar's 1994 collection Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14, written by Rehan Azmi. Beginning with Quranic verses and the beautiful names of Allah, this devotional recitation praises divine mercy, recalls the prophets and the virtues of the Ahlulbayt (AS), and moves into a lament for Imam Hussain (AS), Karbala, and the suffering of the Prophet's family.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Lyrics

Tu Hai Bara Rehman Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tu Hai Bara Rehman

Tu Hai Bara Rehman

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Tu Hai Bara Rehman

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

A'udhu billahi minash-shaytanir-rajeem
Bismillahir-Rahmanir-Raheem

Ar-Rahman
Allamal-Quran
Khalaqal-insan
Allamahul-bayan

Ya Rahman, Ya Raheem ×3

Ya Hayyu, Ya Qayyum, Ya Razzaq, Ya Azeem
Ya Noor, Ya Mughni, Ya Azeez, Ya Kareem
Ghaffar tu, Sattar tu, Jabbar, Ya Hakeem
Quddus, Ya Shakoor, Ya Ghafoor, Ya Raheem

Maula tu bara Rehman ×3
Tu hai bara Rehman, Maula tu bara Rehman ×2

Ehsaan hum pe hai tera, ae Rabb-e-Zuljalal
Ummat mein uski paida kiya jo hai bemisaal
Dukhtar Batool jiski, Hasan aur Hussain laal
Lahmuka lahmi jiska, Ali jaisa ba-kamaal
Quran-o-Ahl-e-Bait ko tune kiya yakjaan

Adam se ta ba Mehdi-e-Aakhir teri ata
Tere karam ke baar tale saare Ambiya
Moosa ke haq mein Neel mein rasta bana diya
Masloob hoke Eesa ke lab par thi yeh sada
Har dil mein tu makeen hai, kehne ko la-makaan

Meraj par gaye jo Rasool-e-Falak-Janaab
Mabood-o-abd mein na raha jab koi hijab
Allah ne Nabi se kiya us ghadi khitaab
Darkaar kya hai tumko? Mujhe chahiye jawaab
Bole Rasool, bakhsh de ummat ko, de amaan

Rab ne kaha ada karo haqq-e-Payambari
Jis waqt aaye raah mein manzil Ghadeer ki
Takmeel-e-deen karna hai us waqt ae Nabi
Maidaan-e-Khum mein is tarah Maula hue Ali
Akmaltu lakum deen ka ho jayega samaan

Zahra ke ghar sitara jo utra to yeh khula
Mehboob Panjetan ko bahut rakhta hai Khuda
Maktab Hasan Hussain ka yeh ghar bana raha
Masnad Nabi ki ismein, musalla Ali ka tha
Chaukhat pe jiski rehta hai Jibreel sa darbaan

Is ghar ka fard fard Khuda se tha humkalaam
Sajde mein sar Hussain ka, lab par Khuda ka naam
Khanjar tale Khuda se yeh kehte rahe Imam
Sar teri nazr karta hoon, ghar de chuka tamaam
Aata hoon teri simt main deta hua azaan

Akbar nisaar kar diya, Asghar bhi de chuka
Abbas aur Qasim-o-Hurr ko bhi ro chuka
Zainab ke dono bachchon ko sehra mein kho chuka
Ab dast-e-zulm chadar-e-Zainab tak aa gaya
Le dekh le Hussain ke chehre ka imtihaan

Khaimon se aag, aag se uthta hua dhuan
Nanha sa ek jhoola hai sholon ke darmiyan
Daaman jala Sakina ka, kaise bujhaye maa
Bandhi gayi hain haathon mein Zainab ke reesma
Ujda hua hai qafila, Sajjad sarbaan

Aayi sada Hussain ki, ae Qadir-o-Qadeer
Beti Ali ki, meri behan ho gayi aseer
Be-dast mera bhai hai, tu sabka dastageer
Kufe ki shehzadiyan kaise hui faqeer
Phir bhi main nok-e-naiza pe deta hoon yeh bayaan

Hamd-e-Khuda hai, naat-e-Nabi, zikr-e-Panjetan
Iske siwa to kuchh bhi nahin hai mera sukhan
Yaad-e-Hussain hai mera sarmaya-e-nihaan
Hai Karbala ki khaak se aasooda jo badan
Kaise fishaar-e-qabr ho phir Sarwar-o-Rehan

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1994
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Tu Hai Bara Rehman, Vol. 14

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.