Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo

Nadeem Sarwar

2002Urdu
2002UrduSayyida ZainabMuharram
Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo is an Urdu Noha recited by Nadeem Sarwar in the 2002 Karbala Aam Kare (Volume 22) collection. It reflects on farewell of sayyida zainab. Read Roman lyrics, the Urdu/Shahmukhi text, and an English translation with the YouTube recording.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2002
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Lyrics

Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo

Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Utho Hussain Behan Ko Zara Sawar Karo

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Yeh main hoon, main, meri tanhaai, yeh tamaashaai
Lo aayi gyaarah Muharram hai, kya khabar laayi
Chali yeh jaanib-e-zindaan tumhaari maa-jaayi
Sawar hum ne kiya tha tumhein mere bhai

Ab aao ya mujhe keh do na intezaar karo ×3
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Sawar hum ne kiya tha tumhein dam-e-rukhsat
Lagaam thaami thi maine ba-haalat-e-riqqat
Kahaan gayi woh muhabbat, kahaan gayi chaahat
Amaama apna mere sar pe saaya-daar karo ×2
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Watan se door hoon, kuchh aur door jaati hoon
Utho utho mere bhaiya tumhein jagaati hoon
Koi bhi aata nahin main jise bulaati hoon
Qaraar-e-jaan mere mujh ko na be-qaraar karo ×2
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Safar Madine se kaisa tha, yeh safar kya hai
Na mehmilein hain, na haudaj, na koi parda hai
Hai sar mein khaak yeh Karb-o-Bala ka sehra hai
Na jee sakungi tere baad, aitbaar karo ×2
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Dare Furaat pe aye sone waale jaag zara
Alam ke saaye mein rukhsat behan ko kar bhaiya
Suna hai sakht kathin hai yeh Shaam ka rasta
Sehal yeh raasta Abbas-e-naamdaar karo ×2
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Main aaungi mere bhaiya zaroor aaungi
Kafan urhaaungi, marqad tera banaaungi
Jahaan bhi jaaungi farsh-e-aza bichhaaungi
Main qaid kaat ke laut aaun, intezaar karo ×2
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Ragon mein khoon, badan mein jo saans jaari hai
Tumhaari Sarwar-o-Rehan zimmedaari hai
Jahaan jahaan mere bhai ki pursa-daari hai
Tum apne nohon se duniya ko sogawaar karo ×2
Utho Hussain, behan ko zara sawaar karo ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2002
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Bibi Sakina
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Farewell of Sayyida Zainab, Journey to Shaam, 11 Muharram
Original language
Urdu
Album
Karbala Aam Kare (Volume 22, 2002)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.