Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Wah Mere Lal Abbas

Nadeem Sarwar

2006Urdu
2006Urdu
Wah Mere Lal Abbas is Nadeem Sarwar's 2006 noha praising Hazrat Abbas through Imam Hussain's words before recounting his loyalty, standard-bearing, journey to the Euphrates and sacrifice in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2006
Original
Urdu
Album
Mujhe Paidal Chalna

Lyrics

Wah Mere Lal Abbas Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wah Mere Lal Abbas

Wah Mere Lal Abbas

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Wah Mere Lal Abbas

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas, Abbas, Abbas

Ghazi Abbas ko de ke deen ka alam ×2
Bole Sibt-e-Nabi:
Mera ek kaam kar

Mere bazu, Alamdar-e-Shah-e-Wafa
Aye Ghani-o-Sakhi, mera ek kaam kar
Aye Khuda-e-Wafa, Sayyeda ki dua
Jurraton ke Wali, mera ek kaam kar
Aye sab ke Wali, aye meri zindagi
Misle Nad-e-Ali, mera ek kaam kar

Chahta hai ye Shabbir, Bhai mere
Aaj sab tera jah-o-hasham dekh lein
Is tarah Shamiyon se tu kar guftagu
Lehja-e-Haidari ka bharam dekh lein

Ab ye parda utha, unko ja ke bata
Azm-e-Shabbir, azm-e-Hussaini hai kya
Hum muhafiz hain Quran-o-Islam ke
Kis liye aaye hain bar-sar-e-Karbala

Bol aise ke Khaliq ko kehna pade:
Zat-e-Haider ke aks, kya baat hai
Aaj Nahj-ul-Balagha ka Khaliq kahe:

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai ×2
Zat-e-Haider ke aks, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Baat Aaqa ki Ghazi ne jis dam suni ×2
Daftan Sher ne ek angrai li
Shaam ki fauj mein mach gayi khalbali
Log kehne lage:
Aa gaye kya Ali?
Aur Rooh-e-Ali muskurane lagi ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Bole Abbas ye Lashkar-e-Shaam se:
Woh jo waqif nahin hai mere naam se
Ba-khabar woh nahin apne anjam se
Munsalik main bhi hoon unke paigham se
Yun nawaza mujhe Sheh ne inam se ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Main bataun tumhein kaun Shabbir hai
Aks-e-Islam, Quran ki tafseer hai
Khuld, Bagh-e-Iram uski jagir hai
Uske qadmon tale Hurr ki taqdeer hai
Mere bare mein uski ye taqreer hai ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Ye ghulami-e-Sheh ka sharaf hai mila
Malika-e-Khuld ne mujhko beta kaha
Naam Abbas Zainab ne mera rakha
Jhoola Shabbir ne hai jhulaya mera
Phir Hasan ne gale se laga kar kaha ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Pyas bachchon ki layi yahan tak mujhe
Mashk ek bhar ke le jaunga nehr se
Mere Aaqa ne roka ladai se hai
Warna roke mujhe hausla hai kise?
Main hoon betab, sun lo yehi ek sada ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Jab mukammal hua zindagi ka safar
Bola Shabbir se Bawafa nehr par:
Apne pairon pe rakh lijiye mera sar
Khush ho Ummul Baneen jab sune ye khabar
Mere bete se Shabbir ne keh diya ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Haye Rehan-o-Sarwar, ajab waqt tha
Ho ke be-dast jab mera Ghazi gira
Bawafa ka alam khoon mein tar ho gaya
Rooh-e-Zahra pukari sar-e-Karbala:
Tune saqqai ka haq ada kar diya ×2

Wah mere Lal Abbas, kya baat hai
Mere Ghazi Jari, teri kya baat hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2006
Original language
Urdu
Album
Mujhe Paidal Chalna

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.