Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Ali Maula Haider Maula

Nadeem Sarwar

2001Urdu
2001UrduImam AliMuharram
Ya Ali Maula Haider Maula is an Urdu noha recited by Nadeem Sarwar with poetry credited to Rehan Azmi, from the 2001 Al Quraan (Volume 21) collection. Devotion to Imam Ali and remembrance of Karbala. Read the lyrics in Roman script, Urdu/Persian script and English translation alongside the recording.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2001
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Al Quraan (Volume 21, 2001)

Lyrics

Ya Ali Maula Haider Maula Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Ali Maula Haider Maula

Ya Ali Maula Haider Maula

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ya Ali Maula Haider Maula

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Ali Maula Haider Maula

Dil Mein Saja Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula
Aur Maulai Kehta Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Bighri Bana Dy Aye Sawali Koi Na Jaye Khali
Aaj Ghadeeri Jham Pila Dy Ay Walion Ky Wali
Teri Ankhen Mery Maula Sab Ko Dekhny Wali
Chashm E Karam Ny Teri Maula
Gham Sy Bacha K Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Nagri Nagri Tery Mawali Tery Qalandar Maula
Dharti Dharti Tery Gadaagar Fakhr E Tawangar Maula
Bey Zar Tery Dar Par Aa Kar Ho Gaye Boozar Maula
Apna Wazeefa Nad E Ali Ko Sab Ny Bana Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Peer Faqeer Malang Mawali Aur Qalandar Saeen
Qambar Mesum Boozar Salman Malik E Ashtar Saeen
Karty Rahy Hain Karty Rahen Gy Haider Haider Saeen
Aaj Bhi Sindh Ny Maula Qadam Ko Sar Py Utha Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Tera Nahra Sun Kar Mushkil Mushkil Mein Parh Jaye
Dushman Emaan Dekh Ky Tujh Ko Dharti Mein Garh Jaye
Lakhon Ky Lashkar Sy Maula Tanha Tu Larh Jaye
Tery Khuda Ny Tujh Ko Apni Taigh Bana K Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Tera Ghar Noorani Maula Ghar Hai Tera Noorani
Tery Ghar Mein Jo Soorat Hai Soorat Hai Qurani
Tu Kull E Emaan Hai Maula Zikr Tera Emaani
Rab Ny Tery Nam Sy Apna Nam Mila Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Malik E Kausar Malik E Jannat Waris E Quran Ho Ky
Ek Ek Boond Ko Nehr Kanarey Tery Bachy Tarsy
Jal Gaye Khaimey Lut Gaye Saaman Chin Gai Chadar Sar Sy
Dil Ko Tery Karbobala Ny Haye Dukha Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Karbobala Ny Aath Peher Mein Kya Manzar Dikhlaya
Fatima Zehra Ny Marqad Mein Ek Pal Chain Na Paya
Laash Py Tery Laal Ki Maula Ghorhon Ko Dorhaya
Naizey Par Tery Pyaron Ky Sar Ko Utha Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Rabb E Zidni Ilma Keh Kar Shehar E Najaf Mein Aaye
Hum Ny To Rehan O Sarwar Ilm Ky Moti Paaye
Ya Ali Maula Haider Maula Tujh Sy Aas Lagaye
Shukr E Maula Shukr E Maula Lab Py Saja Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Maula

Dil Mein Basa Ky Rakha Hai
Ya Ali Maula Haider Mola

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2001
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Devotion to Imam Ali and remembrance of Karbala, Azadari, Ahlulbayt
Original language
Urdu
Album
Al Quraan (Volume 21, 2001)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.