Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Ali Ya Hussain

Nadeem Sarwar

2009Urdu
2009Urdu
Ya Ali Ya Hussain is Nadeem Sarwar's 2009 title noha linking the lives and sacrifices of Imam Ali and Imam Hussain. Its extended verses move from devotion to Ali and Hussain into a vivid poetic account of Hussain's final battle and the return of Zuljanah to the tents.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2009
Original
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Lyrics

Ya Ali Ya Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Ali Ya Hussain

Ya Ali Ya Hussain

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ya Ali Ya Hussain

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Allah ×3
Allah hi Allah ×4
Tu hi tu Allah
Allah, tu hi tu Allah
Tu hi tu Allah

Jo Muhammad ka wafadar hai, Allah uska
Karbala uski, Najaf uska, Madina uska

Zindagi hai to bas Ali ki tarah
Maut aaye to Ya Hussain, Hussain

Ya Hussain ×6
Ya Ali Ya Hussain ×4

Awaz-e-Muhammad ka asar khatm na hoga ×2
Thak jayega suraj, ye safar khatm na hoga
Ya Ali Ya Hussain ×3

La-raib, Payambar ki donon hain zeb-o-zain
Pehlu mein Ya Ali hai to godi mein Ya Hussain ×2
Lauh-o-Qalam ke ilm ka sadiq hai Ya Ali
Jab tak Khuda ka mulk hai, Malik hai Ya Hussain ×2
Ye ilm ka dar, sabr ka ghar khatm na hoga
Thak jayega suraj, ye safar khatm na hoga ×2

Ye saltanat-e-ishq hai, khuddar milenge
Salman-o-Abuzar se wafadar milenge ×2
Qasim yahan, Meesum se jigar-dar milenge
Jeene ke liye marne pe tayyar milenge ×2
Kat jaye zaban, ishq magar khatm na hoga
Thak jayega suraj, ye safar khatm na hoga ×2

Muslim ibn-e-Aqeel safeer-e-Hussain hai
Hubb-e-Ali hai dil mein, musheer-e-Hussain hai ×2
Woh Badshah aur ye Wazir-e-Hussain hai
Aisa wazir hai ke faqir-e-Hussain hai ×2
Ta-hashr sifarat ka safar khatm na hoga
Thak jayega suraj, ye safar khatm na hoga
Ya Ali Ya Hussain ×3

Hurr ko Sakhi Hussain ne aali bana diya
Aisa ke Panjetan ka sawali bana diya ×2
Nad-e-Ali ne isko jalali bana diya
Rumal-e-Fatima ne misali bana diya ×2
Ye dar hai ataon ka, ye dar khatm na hoga
Thak jayega suraj, ye safar khatm na hoga ×2

Aye mere Rabb-e-Jahan
Aye Muhammad ke Khuda
Ye tera ishq hi tha
Jiski parwaz juda
Ye tera ishq hi tha ×2

Panjetan se jo mila
Ishq ka tere safar
Ishq-e-Haider mein mila
Kabhi Meesum, kabhi Miqdad-o-Abuzar mein mila
Kabhi Salman ke dil mein, kabhi Qambar mein mila
Aur maqtal mein jo dekha to bahattar mein mila
Laiq-e-ishq hai tu, tera jalwa har su ×2

Aye mere Rabb-e-Jahan
Aye Muhammad ke Khuda
Ishq tune bhi kiya
Aur Muhammad tera
Jiski chahat ke liye
Ye jahan khalq kiya
Woh tera ishq hi tha ×3

Aye mere Rabb-e-Jahan ×2
Ek ajab ishq hua
Woh sar-e-Karb-o-Bala
Tera aashiq hai khada
Khoon mein dooba hua
De chuka lakht-e-jigar
De chuka noor-e-nazar
De chuka sara woh ghar
Aur khanjar ke tale
Uska sajde mein hai sar
Na namaz aisi, na aashiq ka kaleja aisa
Nok-e-naiza pe bhi karta hi raha zikr tera
Ya Ali Ya Hussain ×3

Ek Zulfiqar khalq mein do hath se chali
Dast-e-Hussain-o-panja-e-Mushkil-Kusha Ali
Ye Mustafa ki jaan, woh Allah ka Wali
Donon ka martaba bhi do aalam pe hai jali
Donon ka is kamal se sajda ada hua
Haider se ibtida hui, ya khatima hua
Ya Ali Ya Hussain ×3

Hai waqt-e-Asr, marzi-e-Parwardigar hai
Ab pusht-e-Zuljanah pe Maula sawar hai
Pehlu mein khoon roti hui Zulfiqar hai
Hamrah Zuljanah bhi bahut dil-figar hai
Qurban Zuljanah pe aur Zulfiqar par
Chalte the donon marzi-e-Parwardigar par
Ya Ali Ya Hussain ×3

Jaisi woh Zulfiqar thi, waisa tha Zuljanah
Bachpan se sath sath hi rehta tha Zuljanah
Be-misl-o-be-nazir tha, aala tha Zuljanah
Kyun kar na ho? Rasool ne pala tha Zuljanah
Pehla sawar to Nabi-e-Kirdigar hai
Aur doosra ye dosh-e-Nabi ka sawar hai
Ya Ali Ya Hussain ×3

Cheete ki jast, sher ki chitwan, hiran ki aankh
Chalta tha dekh dekh ke Shah-e-Zaman ki aankh
Padti thi yun harif pe us saf-shikan ki aankh
Ladti ho jaise jang mein shamsheer-zan ki aankh
Tegh aayi jis pe, uska bhi waar us pe chal gaya
Woh sar gira gayi to ye lasha kuchal gaya
Ya Ali Ya Hussain ×2

Kehta tha Zulfiqar se:
Ab meri jang dekh
Chal mere sath sath, zara mera rang dekh
Is pyas mein ladai ka mera bhi dhang dekh
Rah-e-hayat kitnon pe karta hoon tang dekh
Mana tu Zulfiqar hai, Marhab-shikar hai
Lekin ye dekh kaun ye mujh par sawar hai
Ya Ali Ya Hussain ×3

Simta, jama, uda, idhar aaya, udhar gaya
Chamka, phira, jamal dikhaya, thahar gaya
Teeron se ud ke barchhiyon mein be-khatar gaya
Barham kiya safon ko, saron se guzar gaya
Aaya jo zad mein iski, ajal aa gayi use
Ek taap padi jis pe, zameen kha gayi use
Ya Ali Ya Hussain ×3

Allah re ladai mein shaukat Hussain ki
Thi tegh-o-Zuljanah mein surat Hussain ki
Qudrat baghaur dekhti thi surat Hussain ki
Qahr-e-Khuda se kam na thi haibat Hussain ki
Bole Ali:
Hussain ho, ab bhi hawas mein?
Aisi to jang hum na lade bhook-o-pyas mein
Hussain Ya Hussain ×3

Aayi sada-e-ghaib:
Bas bas Hussain bas
Dam le hawa mein chand nafas, aye Hussain bas
Garmi se hanpta hai faras, aye Hussain bas
Waqt-e-namaz-e-Asr hai, bas bas Hussain bas
Hussain Ya Hussain ×3

Ye sunte the Hazrat ke laga pusht pe bhala
Qarboos pe thahra ke gire Hazrat-e-Wala
Jibreel ne qadmon se rikabon ko nikala
Aur hathon ko gardan mein Yadullah ne dala
Dekha jo Zuljanah ne ghash khate zeen par
Pas baith gaya tek ke ghutnon ko zameen par
Quran rehl-e-zeen se sar-e-farsh gir pada
Deewar-e-Kaaba baith gayi, Arsh gir pada
Hussain Ya Hussain ×3

Chillayi Fatima:
Mera bachcha hai be-gunah
Aye arz-e-Nainawa, mera bachcha hai be-gunah
Aye Nehr-e-Alqama, mera bachcha hai be-gunah
Aye Zulfiqar, tu hi bachale Hussain ko
Aye Zuljanah, tujhse main loongi Hussain ko
Hussain Ya Hussain ×3

Dooba lahu mein laut ke aaya hai Zuljanah
Samjhi Sakina, Baba ko laya hai Zuljanah
Sar khak par patak ke pukara woh rahwar:
Sayyedaniyo, bichhad gaya mujhse mera sawar
Jaldi utar lo ye tabarruk, ye Zulfiqar
Are katta hai wahan guloo-e-Shahenshah-e-Namdar
Zahra qareeb-e-lash-e-pisar khak udati hai
Are khaimon mein jao, lootne ko fauj aati hai

Hussain Ya Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2009
Original language
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.