Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Ali

Nadeem Sarwar

2013Urdu and Persian
2013Urdu and Persian
Ya Ali is Nadeem Sarwar's lament for Imam Ali during the nights of his shahadat. Urdu and Persian verses portray Ali remembering Bibi Fatima Zahra, the wounds she concealed and his own final journey toward martyrdom.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2013
Original
Urdu and Persian

Lyrics

Ya Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Ali

Ya Ali

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ya Ali

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Shab-e-zarbat-e-Mah-e-Ramzan
Ali ka ye kehna hai:

Ye zindagi baad-e-Zahra
Ba-Khuda shikasta hai
Aah, tere baad aye Zahra
Main dil-soz-o-shikasta
Main dil-zar-o-girafta

Khuda nigehdar
Ke main musafir-e-shab
Zinda-dar
Khuda nigehdar
Ke main paykar-e-dil-figar

Ya Ali

Roz-o-shab-e-veerani
Zindagi ye zindani
Roz-o-shab-e-veerani
Zindagi ye zindani

Zindagi ye baad-e-Zahra
Ba-Khuda nahin kat-ti

Khuda nigehdar
Ke main musafir-e-shab
Zinda-dar
Khuda nigehdar
Ke main paykar-e-dil-figar

Ya Ali ×4

Haye dard-e-dil mere
Jo Ali na keh paya
Raz woh liye dil mein
Ja raha hai aye duniya

Kal na Salooni sununga
Kal na Salooni kahunga
Main chala su-e-Kirdigar

Khuda nigehdar
Ya Ali ×4

Woh Ali hoon
Jungon mein
Jisne maut ko ghera
Fatima ki furqat mein
Zabt kho gaya mera

Haye tere baad aye Zahra
Haye veeran hai duniya

Main chala su-e-Kirdigar

Khuda nigehdar
Ya Ali ×4

Haye Fatima Zahra
Sabr kaisa paya tha
Raz zakhmi pehlu ka
Mujhse bhi chhupaya tha

Main kabhi bhool na paya woh
Tera pehlu shikasta

Main chala su-e-Kirdigar

Khuda nigehdar
Ya Ali ×4

Is sitam ne aye Zahra
Kitna mujhko rulwaya
Main Ali tha aur tera
Haq na main dila paya

Haye tu Dukhtar-e-Aaqa
Aur darbar mein jana

Main chala su-e-Kirdigar

Khuda nigehdar
Ya Ali ×4

Aa raha hoon aye Zahra
Main bhi janib-e-manzil
Khuda Hafiz-o-Nasir
Main chala su-e-qatil

Kal mera akhri kalma:
Fuztu bi Rabbil-Ka'ba

Main chala su-e-Kirdigar

Khuda nigehdar
Ya Ali ×4

Main chala su-e-qatil
Main chala su-e-hasil
Main chala su-e-manzil ×2
Main chala

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2013
Original language
Urdu and Persian

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.