Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Zahra Ali

Nadeem Sarwar

2015Urdu
2015Urdu
Ya Zahra Ali is a 2015 Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi and Nadeem Sarwar. The kalaam recounts the sufferings of the Ahlul Bayt (AS), beginning in Madina and continuing through the martyrdom of Imam Ali (AS), Imam Hasan (AS), Karbala, Shaam, and the return of Bibi Zainab (SA) to Madina. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2015
Original
Urdu
Album
Bismillah e Noor e Khuda

Lyrics

Ya Zahra Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Zahra Ali

Ya Zahra Ali

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ya Zahra Ali

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Momino, qissa-e-Sadaat suno
Thaam kar dil ye meri baat suno
Khoon se likhe hue halaat suno

Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra, Ya Zahra ×2
Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra

Momino, qissa-e-Sadaat suno
Thaam kar dil ye meri baat suno

Noor-e-kaunain, Madina hai jahan
Ek mohalla Bani Hashim hai wahan
Us mohalle ke ek ghar ka bayaan
Jisse behtar nahi duniya mein makaan
Deen-o-iman ke kirdar ka ghar
Panjtan Pak ke anwar ka ghar
Dukhtar-e-Ahmed-e-Mukhtar ka ghar
Fatima, Haider-e-Karrar ka ghar

Laadle inke Hasan aur Hussain
Aur do betiyan thin noor-e-ain
Ek Kulsoom thi, ek baap ka zain
Aur Abbas dil-o-jaan ka chain

Ghar ye tha Bait-e-Khuda
Jisme Qur'an utra
Aur kis tarah luta
Inka rutba na zamana samjha

Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra

Kaisi mazloom magar thin Zahra
Baap ke gham mein bhi rone na diya
Haq se mehroom kiya, wa abata
Aaj bhi jiski lahad be-saya
Jispe jalta hua darwaza gira
Ho gayin pehlu-shikasta Zahra
Qatl-e-Mohsin bhi hua, wawaila
Baad-e-Zahra woh Ali ka girya

Masjid-e-Kufa mein phir shor utha
Haye Haider pe chali tegh-e-jafa
Thi sada, Fuztu bi Rabbil Ka'ba
Ghar mein Zahra ke qayamat thi bapa

Sar se saya jo utha
Ghar ye veeran hua
Thi yateemon ki buka
Haye Baba, haye Baba, Baba

Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra ×2

Baad-e-Haider ye sitam aur hua
Khoon mein Shabbar ka janaza dooba
Aur phir deen jo mushkil mein ghira
Tab Hussain Ibn-e-Ali ghar se chala
Karbala jaise hi pahuncha kunba
Phir to kya zulm na Sayyed pe hua
Milke lakhon ne unhein gher liya
Teen din pehle to paani na diya

Aur phir ×3

Maqtal-e-Sadaat saja
Bhanje, bete, bhatija na raha
Na woh lashkar, na Alamdar bacha
Asr se pehle woh Hal Min ki sada

Chal gayi tegh-e-jafa
Khoon bekas ka baha
Sar su-e-naiza gaya
Tan ko aghosh mein Zahra ne liya

Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra ×2

Aa gayi Shaam-e-Ghareeban, haye haye
Aur phir aag lagi, khaime jale
Ghash se jab Abid-e-Beemar uthe
Qaidi kunbe ke woh salar bane

Haye Sajjad ne kya kya dekha
Sar khule Shaam mein kunba dekha
Jashn darbar mein hota dekha
Chhoti hamsheer ka laasha dekha

Qaid se ×3

Chhut ke chale Karbobala
Sab ka chehlum kiya, matam bhi kiya
Qafila jab ye Madine pahuncha
Ab bayaan Sarwar-o-Rehan ho kya

Haye matam tha bapa
Jab ye Zainab ne kaha
Na rahi meri rida
Amma, main aa gayi, bhai na raha

Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra Ali, Ya Zahra ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2015
Original language
Urdu
Album
Bismillah e Noor e Khuda

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.