Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yad e Kal Khair

Nadeem Sarwar

2010Urdu
2010Urdu
Yad e Kal Khair is Nadeem Sarwar's 2010 noha portraying Bibi Zainab's address in the court of Shaam. The verses challenge the ruler's claim to victory, affirm the dignity of the Ahlulbayt and present the sermon as a continuation of Imam Ali's fearless voice.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2010
Original
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Lyrics

Yad e Kal Khair Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yad e Kal Khair

Yad e Kal Khair

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Yad e Kal Khair

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain

Haye
Aseer qafila
Darbar-e-Shaam jab aaya
Yazid
Zainab-e-Kubra se
Yun hua goya:

Lo aaj raaz
Wa tu'izzu man tasha
Ka khula
Ke ba-waqar hua kaun
Kaun hai ruswa

O bad-kalam, thehar
Boli Zainab-e-Kubra
Nashe mein mast hai
Ayat ye poori sabko suna

Woh hath-e-khair ka hai kaun
Mujhko ye to bata
Ke jis se zillat-o-tauqeer
Bantta hai Khuda

Woh hath tu hai
Ke hum?

Hum Ahl-e-Bayt hain uske
Hum hi hain
Izzat-o-zillat ke
Bantne wale

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Zainabi lehje mein
Awaz-e-Ali goonj uthi
Zulm aur jabr ke darbar pe
Bijli si giri
Laiq-e-hamd hai
Jisne hamein izzat bakhshi
Surah-e-Rum se
Shahzadi ne ayat ye padhi

Jo bure the
So bura unka hi anjam hua
Jisne Quran ko jhutlaya
Woh nakam hua

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Kya kaha tu ne?
Ke Haq se hamein ruswai mili?
Hum ye kehte hain
Hamein izzat-o-sachchai mili
Humko Quran mila
Rabb ki shanasai mili
Mere pyaron ko
Sinan par bhi pazirai mili

Ibn-e-Marjana
Tere jubba-o-dastar talak
Karbala aa gayi
Ab Shaam ke darbar talak

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Aye mere Bhai ke qatil
Hawas-e-zar ke ghulam
Imtihan ye bhi hai
Main aur karun tujh se kalam

Yun mukhatib hoon
Ke dil mein hai
Mere gham ki husam
Mujhko dena hai
Hussain ibn-e-Ali ka paigham

Kar ke tazheek-e-Nabi
Tujhko maza aata hai
Intiqam-e-Uhud-o-Badr pe
Itrata hai

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Aye Yazid-e-sitami
Jaag
Bahut shad hai tu
Qaid karke hamein
Samjha hai ke azad hai tu

Ye teri kham-khayali hai
Ke abad hai tu
Nasl dar nasl
Sada ke liye
Barbad hai tu

Faisla Rabb ka hai
Mohlat hai sambhal jane ki
Dheel di jati hai
Zalim ko sambhal jane ki

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Aaj kis zo'm mein
Ashraf ka khoon peeta hai?
Kaat ke Bagh-e-Risalat ko
Tu khush hota hai
Cheekhta phirta hai:
Tu Badr ka ye badla hai

Mujhko hairat nahin
Hinda hi ka tu beta hai
Hoga maloom
Shaqawat ka natija us din
Badla ye kya hai
Liya jayega badla us din

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Kar diya qatl hamein
Tu ne ghalat socha hai
Gosht apna hi chabaya hai
Badan nocha hai
Kya khabar tujhko
Ke hum logon ka rutba kya hai
Aal-e-Imran mein
Allah ka ye wada hai

Shuhada surat-e-Quran
Sada zinda hain
Woh to woh
Unke muhibban sada zinda hain

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Haye
Mahv-e-hairat hoon
Jinhein Rabb ne sar-afraz kiya
Ilm-e-Quran diya
Aur Yad e Kal Khair kaha
Aah
Un Bagh-e-Risalat ke gulon ko masla
Aasteenon se tumhari hai
Lahu unka baha

Paak-o-pakeeza banaye the
Jo khud Rabb ne badan
Aaj sehra mein pade hain
Wohi be-gor-o-kafan

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Aazma le
Sitami-zad
Sitam ke harbe
Dekh baqi
Tere dil mein koi hasrat na rahe
Reh gaya ho
Jo sitam koi
To woh bhi kar le

Jeet kar haar gayi
Teri hukumat hum se
Fikr-e-Shabbir to phailegi
Muhammad ki qasam
Ye tere bas mein nahin
Malik-o-Mukhtar hain hum

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Hafiz-e-Nahj-e-Balagha ka tha
Woh rob-o-jalal
Maut ki khamoshi jaisa
Hua darbar ka haal
Jaag uthin Bibiyan
Jo gham se musalsal thin nidhal

Bhare darbar se
Mazloom Khateeba ka sawal:
Kalma jiska padha
Uska jigar kaat liya
Apne Mohsin ke
Nawase ka hi sar kaat liya

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Tum the nau lakh darinde
Woh bahattar insan
Un bahattar mein bhi
Asghar sa tha ek tishna-dahan
Aisa masoom
Qasam khata hai jinki Quran
Haye un pyason ke
Hulqoom pe khanjar tha rawan

Tum ye kehte ho
Paye-jang Hussain aaya tha?
Betiyon, behnon ko
Phir sath mein kyun laya tha?

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Aye Yazid
Aaj na kyun tujh pe
Falak toot pade?
Tu ne woh zulm kiye
Jis se Muhammad roye
Haye Namoos-e-Nabi
Koocha-o-bazar phire
Dar-o-deewar saje
Kothon se patthar barse

Shaamiyo
Hum pe naya
Ab ye ghazab karte ho?
Chhoti Zahra ko
Kaneezi mein talab karte ho?

Yad e Kal Khair bhi hum
Rabb-e-Kaaba ki qasam
Unhi hathon mein rasan
Sar-e-Darbar-e-Sitam

Khatm taqreer hui
Mehshar-e-khamosh utha
Ya Ali
Aapki Beti ka
Ajab khutba tha
Murda darbar pe
Chhayi thi Khateeba ki sada

Bichh gayi
Sarwar-o-Rehan
Wahan Farsh-e-Aza
Bhai ke sar pe
Nazar Zainab-e-Kubra ki padi
Jhuk gayi
Bali Sakina pe
Ali ki Beti

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2010
Original language
Urdu
Album
Jahan Hussain Wahan Laillaha Illallah

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.