Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ye Shaam-e-Ghareeban Hai

Nadeem Sarwar

1993Urdu
1993UrduImam HussainMuharram
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai is an Urdu noha recited by Nadeem Sarwar in the 1993 (Volume 13) collection, with poetry credited to Rehan Azmi. Read its Roman-script lyrics, original script and line-aligned English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1993
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Volume 13 (1993)

Lyrics

Ye Shaam-e-Ghareeban Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ye Shaam-e-Ghareeban Hai

Ye Shaam-e-Ghareeban Hai

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Ye Shaam-e-Ghareeban Hai

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ye Shaam-e-Ghareeban hai, darya ki rawaani hai ×2
Ye Shaam-e-Ghareeban hai, darya ki rawaani hai ×2
Pyaase na rahe baaqi ×2
Phir kis liye paani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban hai

Asghar tere laashe ko maa ban ke zameen rakhe ×2
Ujri hui godi ki, haaye ujri hui godi ki
Masoom nishaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Khoon kaise ruke logon Akbar ka jawaani mein ×2
Hai khoon naya lekin, haaye hai khoon naya lekin
Barchhi to puraani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Yeh to mujhe lagta hai laasha kisi dulha ka ×2
Patka jo kamar mein hai, haaye patka jo kamar mein hai
Rang is ka to dhaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Maloom na tha Sheh ko khud apne hi haathon se ×2
Shabbar ki nishaani bhi, haaye Shabbar ki nishaani bhi
Mitti mein milaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Shabbir ko khanjar se zyada yeh aziyyat hai ×2
Takleef jo zindaan mein, haaye takleef jo zindaan mein
Bachchi ko uthaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Zainab ne kaha thehro main dasht mein aati hoon ×2
Bhaiya tumhein Akbar ki, haaye bhaiya tumhein Akbar ki
Ab laash uthaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Har gham ko bhula denge har yaad mita denge ×2
Zehra tere bachchon ki, haaye Zehra tere bachchon ki
Bas yaad manaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Rehan ki Sarwar ki pehchaan hai jannat mein
In dono ke seenon pe, haaye in dono ke seenon pe
Matam ki nishaani hai
Ye Shaam-e-Ghareeban Hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1993
Personalities
Imam Hussain, Ali Asghar, Ali Akbar, Hazrat Qasim, Sayyida Zainab, Sayyida Fatima Zahra, Bibi Sakina
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Shaam-e-Ghareeban, Martyrs of Karbala, Azadari
Original language
Urdu
Album
Volume 13 (1993)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.