Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Maah-E-Moharram

Ali Shanawar

2009Urdu
2009Urdu
Yeh Maah-E-Moharram is a 2009 noha recited by Ali Shanawar and Ali Jee, reflecting on Muharram as the month of mourning for Imam Hussain and the Ahlulbayt. Each verse recalls a different aspect of Karbala and returns to the refrain that mourning for the Prophet's grandson is established.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2009
Original
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Lyrics

Yeh Maah-E-Moharram Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yeh Maah-E-Moharram

Yeh Maah-E-Moharram

Ali Shanawar · Ali Jee

YouTube loads when you open Listen.

Yeh Maah-E-Moharram

Ali Shanawar · Ali Jee

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Arz-e-Karbala, Arz-e-Nainawa ×2

Arz-e-Karbala ×3
Aye Arz-e-Nainawa

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Is maah mein luti gayi Zahra ki kamai
Talwar Muhammad ke nawase pe chalai
Is maah mein Jibreel se noha ye suna hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Is Maah-e-Moharram ne qayamat ye dikhai
Is chand ne Sughra ko khabar ja ke sunai
Veeran Madina hai, basi Karb-o-Bala hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Is maah mein Sadat ne din kaise guzare
Masoom ko pani na mila nehr kinare
Kya zulm Muhammad ke gharane ne saha hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Jab chand Muharram ka nazar aata hai humko
Sajta hai Azakhana to yaad aata hai humko
Is chand mein khoon Aal-e-Muhammad ka baha hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Ashur ka din bhool na payega zamana
Luta gaya us roz Muhammad ka gharana
Us roz se duniya mein bichhi Farsh-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Kya hausle Maaon ke the, kya sher the bachche
Woh maqsad-e-Zahra thi, ye Haider ke irade
In Maaon se, bachchon se bani Khak-e-Shifa hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Woh Aun-o-Muhammad, Ali Akbar, Ali Asghar
Woh Qasim-e-Naushah, woh Abbas-e-Dilawar
Maqtal inhi Shahzadon ke zakhmon se saja hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Ho Sarwar-o-Rehan, Shanawar ke Ali Jee ×2
Hai naukri virse mein Hussain ibn-e-Ali ki
Awaz-o-qalam donon isi dar ki ata hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Yeh Maah-e-Moharram hai
Yeh Ayyam-e-Aza hai
Matam ye Muhammad ke nawase ka bapa hai

Arz-e-Karbala ×3
Aye Arz-e-Nainawa

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2009
Original language
Urdu
Album
Ya Ali Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.