Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam Hai

Nadeem Sarwar

1997Urdu
1997Urdu
Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam Hai is a 1997 Noha recited by Nadeem Sarwar and written by Rehan Azmi, from the album Karbala Le Chal Mujhe / Vol. 17. This kalaam explains the spiritual status of Majlis-e-Hussain, describing it as a gathering of Quran, remembrance, Azadari, and mourning for Imam Hussain (AS) and the martyrs of Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
1997
Original
Urdu

Lyrics

Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam Hai

Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam Hai

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam Hai

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Yeh Majlis-e-Hussain
Hai sog jis jagah bhi Shah-e-Mashraqain ka
Khud pursa Zehra leti hai is Noor-e-Ain ka
Rona sawab jis pe, na rona haraam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai
Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai

Ye Majlisien hain Hamd-e-Khuda, Naat-e-Mustafa
In Majlison mein hota hai Quran lab-kusha
In Majlison se milta hai Jannat ka raasta
In Majlison ki hoti hai kuch aise ibtida
Zakir ke lab pe pehle Khuda ka kalaam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai...

In Majlison mein hoti hai insaniyat ki baat
Zikr-e-Gham-e-Hussain hai Wahdaniyat ki baat
Ye Majlisien Rasool ki Haqqaniyat ki baat
Radd karti hain ye Majlisien Sufyaniyat ki baat
In ke sabab to Hurr bhi Alaihis-Salaam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai...

In Majlison ko Ajr-e-Risalat kaha gaya
Roz-e-Azal se rone ko fitrat kaha gaya
Dil ki lughat mein isko mohabbat kaha gaya
Yani ise Batool ki sunnat kaha gaya
Har rone wali aankh ko mera salaam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai...

Ek Majlis-e-Aza jo hui Mulk-e-Sham mein
Zainab ne saff bichayi thi Yaad-e-Imam mein
Aansu chhupe hue the Shaheedon ke naam mein
Matam hua jo Yaad-e-Shah-e-Tashnakaam mein
Tab se Gham-e-Hussain zamane mein aam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai...

Majlis mein zikr-e-bali Sakina kiya karo
Pani piyo to yaad Shah-e-Karbala ki ho
Majlis mein tazkera Ali Asghar ka jab suno
Ek aah-e-sard bhar ke tarap kar yahi kaho
Asghar bada Shaheedon mein tera maqam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai...

Is Majlis-e-Hussain ka Sarwar hai Nohakhwan
Thakti nahi hai Zikr-e-Hussaini mein yun zubaan
Ghutti mein Ashk-e-Gham ko pilati rahi hai maa
Walid ne di hai kaan mein Nohon ki woh Azaan
Rehan jis se saare zamane mein naam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai

Yeh Majlis-e-Hussain Alaihis-Salaam hai
Chashm-e-Khuda mein iska bada ehteraam hai

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
1997
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.