Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zainab Bibi Ujar Gayi Hai

Nadeem Sarwar

2014Urdu
2014Urdu
Zainab Bibi Ujar Gayi Hai is a 2014 Noha recited by Nadeem Sarwar, with poetry by Rehan Azmi and Nadeem Sarwar. Set during Shaam-e-Ghareeban after the martyrdom of Imam Hussain (AS), the kalaam portrays Bibi Zainab (SA) amid the burned tents, unburied martyrs, the grief of Bibi Sakina (SA), and the devastation of the Ahlul Bayt (AS). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2014
Original
Urdu
Album
Zindaabad Ya Hussain

Lyrics

Zainab Bibi Ujar Gayi Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zainab Bibi Ujar Gayi Hai

Zainab Bibi Ujar Gayi Hai

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Zainab Bibi Ujar Gayi Hai

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aye Shaam-e-Ghareeban ×4

Ek shor hua, Khana-e-Haider hua taraj
Namoos-e-Nabi ka zar-o-zevar hua taraj

Jalte hue khaime hain
Ye Shaam-e-Ghareeban hai
Be-gor-o-kafan laashe
Ye Shaam-e-Ghareeban hai

Aye Shaam-e-Ghareeban ×4

Zainab Bibi ujar gayi hain ×8
Aye Shaam-e-Ghareeban ×4
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Al-atash, al-atash kehti hai Sakina ×3
Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Lo raakh hue khaime
Ek shor-e-qayamat hai
Ujri hai abhi Zainab
Aaghaz-e-musibat hai
Pardes mein be-parda
Zahra ki shabahat hai ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Ye Fatima Zahra ki
Haan laadli beti hai
Ujri hui ek Maa ki
Ujri hui beti hai
Naazon ki pali Zainab
Ab khaak pe baithi hai ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Abbas chale aao
Zainab ka ye nauha hai
Be-aas tera kunba
Sehra mein akela hai
Zainab ki sadaon se
Maidan larazta hai ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Koi na raha baqi
Shabbir ke lashkar ka
Halqa hai Bibiyon ka
Matam hai bhare ghar ka
Zainab ne liya pursa
Ro ro ke bahattar ka ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Bechain Sakina hai
Reh reh ke jo roti hai
De de ke sadaein woh
Ammu ko bulati hai
Zainab liye godi mein
Masooma ko baithi hai ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Tanhai ka alam hai
Aur ghor andhera hai
Zainab ko masaib ke
Sailab ne ghera hai
Ya Shah-e-Najaf aao
Ke door sawera hai ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Ya Ali Maula
Ya Fatima Zahra

Maqtal ke andhere mein
Barhne laga ek saya
Ujri hui Zainab ka
Dil seene mein ghabraya
Zainab ne bahut roka
Lekin woh barhta aaya
Shehzadi ne kya dekha
Ye to hai mera Baba
Beti ko kaleje se
Haider ne jo liptaya
Nauha lab-e-Zainab par
Be-sakhta ye aaya ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Ghar lut gaya aye Baba
Dekho meri tanhai
Na god mein bachche hain
Na sar pe raha bhai
Chadar na bacha payi
Main ro bhi nahi payi ×2

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×4

Zainab ke tarapne par
Maqtal mein qayamat thi
Ye soch ke rote hain
Rehan bhi, Sarwar bhi
Kya guzri thi Zainab par
Jab Shaam-e-alam aayi

Weeran Madina ×2

Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×3

Al-atash, al-atash kehti hai Sakina ×3
Allah Allah, ye shan Nabi ki
Shan Nabi ki ujar gayi hai, Zainab Bibi
Zainab Bibi ujar gayi hain ×11

Ya Rasool Allah
Ya Ali Maula
Ya Fatima Zahra

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2014
Original language
Urdu
Album
Zindaabad Ya Hussain

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.