Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zainab Ka Hai Armaan

Ali Shanawar

2012Urdu
2012Urdu
Zainab Ka Hai Armaan is a 2012 noha by Ali Shanawar and Ali Jee celebrating the enduring tradition of mourning Imam Hussain. Its refrain presents the matam of Hussain as Bibi Zainab's continuing wish and recalls Karbala, Sakina and generations of azadari.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Original
Urdu
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Lyrics

Zainab Ka Hai Armaan Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zainab Ka Hai Armaan

Zainab Ka Hai Armaan

Ali Shanawar · Ali Jee

YouTube loads when you open Listen.

Zainab Ka Hai Armaan

Ali Shanawar · Ali Jee

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hussain, Hussain, Maula

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Chaudah sau baras se

Sajde mein sar kataya
Islam ko bachaya
Shabbir ne jaan de ke
Wade ko hai nibhaya

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Ahmad ka nawasa tha
Zahra ka dulara tha
Nau lakh laeenon ne
Pyasa jise mara tha

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Iksath san-e-Hijri ko
Daswin ki qayamat ko
Chaudah sau baras beete
Maula ki shahadat ko

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Islam ke mohsin ka
Sar naize pe aaya hai
Sadat ke khaimon ko
Aada ne jalaya hai

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Har saal Muharram mein
Ek sog ke aalam mein
Masroof zamana hai
Mazloom ke matam mein

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Ashur zamane mein
Paigham ye lata hai
Shabbir ki ghurbat par
Jo ashk bahata hai

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Zindan ke andhere mein
Ghurbat ke sawere mein
Dafnaya Sakina ko
Abid ne jo kurte mein

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Rehan-o-Shanawar ne
Sarwar ne
Ali Jee ne
Nohon ki ibadat se
Abad rakhe seene

Zainab ka hai armaan
Hussain ka matam
Chaudah sau baras se
Hai duniya mein qayam

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Original language
Urdu
Album
Abad Wallah Ya Zahra

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.