Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zindaan Se Reha Ho Gaye Sadaat

Nadeem Sarwar

2003Urdu
2003UrduSayyida ZainabMuharram
Zindaan Se Reha Ho Gaye Sadaat is a 2003 noha recited by Nadeem Sarwar from Volume 23, also distributed as Dua E Kumail and Ya Sari Al Raza. It reflects on release from captivity. Read the Roman lyrics, Urdu text and English translation with original refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2003
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Dua E Kumail (Volume 23, 2003)

Lyrics

Zindaan Se Reha Ho Gaye Sadaat Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zindaan Se Reha Ho Gaye Sadaat

Zindaan Se Reha Ho Gaye Sadaat

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Zindaan Se Reha Ho Gaye Sadaat

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zindaan se reha ho gaye Sadaat
Allah yeh kya ho gaye Sadaat
Khud Karb-o-Bala ho gaye Sadaat

Yeh kaisi rehaai hai ke dil khush nahin hota
Kya reh gaya zindaan mein ke har qaidi hai rota
Haan apni Sakina se juda hote hain Sadaat
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Aye Shaamiyo, ab chain se aaraam se sona
Bechain karega na kisi bachchi ka rona
Jo shab ko buka karti thi, royegi kabhi na
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Zainab ne kaha, qaid mein hai mera khazaana
Aye waariso, jab shaam dhale, is taraf aana
Turbat pe Sakina ki diya ek jalaana
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Sajjad ne zewar jo aseeri ke utaare
Toote hue sab zakhm hare ho gaye saare
Sar dekh ke Baba ka tarap kar woh pukaare
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Zainab ne rida paa ke kaha shukr-e-Khuda hai
Abbas mere bhai, magar sadma bara hai
Sar-nange hamein saara jahaan dekh chuka hai
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Kulsoom jo ek lafz abhi tak na thi boli
Jis waqt rasan baazu se Sajjad ne kholi
Kehne lagi, kya jaayein watan, khaali hai jholi
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Yeh qaafila jab Karb-o-Bala laut ke aaya
Dekha ke para dhoop mein hai bhai ka laasha
Zainab ne sar-e-khaak-e-bala khud ko giraaya
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Kya shaan thi Sadaat ki jab ghar se chale the
Mehmal thi, amaari bhi thi, mashkeeze bhare the
Abbas-e-Alamdar alam khole hue the
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Galiyon mein Madine ki ajab shor bapaa hai
Sughra se abhi aa ke kisi ne yeh kaha hai
Aa Sughra, tera Baba watan laut raha hai
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Roze pe Muhammad ke jo Sayyidaaniyaan pohnchein
Aye Sarwar-o-Rehan, nigaahein bhi jhuki thin
Dikhla ke nishaan rassi ke Zainab yeh pukaari
Allah mere Allah, zindaan se reha ho gaye Sadaat

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2003
Personalities
Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin, Hazrat Abbas, Bibi Sughra
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Release from captivity, Return from Shaam, Grief for Sakina
Original language
Urdu
Album
Dua E Kumail (Volume 23, 2003)

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.